Translate

Saturday, 13 August 2016

Azadi kya hai...

 

AZADI KYA HAI :-Azadi kya hai is sawal ka jabab aaj tak koi theek se nahi bata paya akhir azadi hai kya?kuch log azadi  ka matlab mante hai ki sundey ko milne wali chutti hai.Kuch logo ko manna hai sabhi riste nate chodna azadi hai kuch log mante hai ki bina rok toke jivan jine ka naam azadi hai lekin mai asli azadi wah manta hoo jo hame bapu aur anya krantikario ne milkar dilai thi wahi asali azadi  hai yadi unlogo ne ham yah azadi nahi dilai hoti to ham is prakar azad na hote.gandhi ji Subhashchandra bose, Bhagat singh,Chandrasekhar azad, jawahar lal nehru,aur anek mahan mahan krantikariyo ne milkar angrejo ki gulami se Azadi dilayi thi mai asali azadi use ko manta hoon.Un loga ne apne jindi ko khule taur par nahi jiya hamesha isi me lage rahe ki hamara desh kisi prakar azad ho jaye.Angrejo ke mar pit khakar aur anek dukh dard sahkar hame azadi dilayi hai jiske karan ham chain ki saas le rahe aur khule asaman ke niche sir utha ke Jee rahe hai in khuli hawayo me saas le paa rahe hai.asli azadi in maham krantikariyo ne hame dilayi.In bade-bade krantikariyo ne yeh kabhi nahi socha hoga ki ane waale samay me hamara desh itna lalchi, beimaan aur bhrastra ho jayega hamare desh me itni beymani hone lagegi.Warna in anek krantikariyo  shayad is desh ko azad karaya hota.wah nahi jante the ki charo aur bimari,bhukhmari,loot kapat,apna pair pasaar le gi aur log apne pet ki bhookh mitane ke liye ek dusre ka khoon katlkarne se bhi nahi hichkichayenge warna in krantikario  ne kabhi desh azad na karwaya hota aur aaj ham gulam hi rahte.To chaliye ham milkar yah pran lete hai ki apne desh ko jhut, fareb, beiymaani, bimari, bhookhmari, bhrastachar, garibi, aadi samasyon ko dur karke apne desh ko saaf sundar tatha samayao se swatantra kare Samaj me ek parivantan ki lahar bahaye jisme sab imandar ho logo ke dukh dard samjne wale ho.Aur is mahan swatantra desh ko phir se sone ki chidiya banyae.
Bharat mata ki jay ho                                                                                                                            Jisko apne bharat desh prem ho wah jarur ise like kare aur comment me like likh ke bheje.                                                                                                Published by Ashwani chaudhary.


                                                                                          



No comments:
Write comments