Translate

Thursday 13 October 2016

Pyari maa

 

aaj ham baat karenge maa ke bare me kis tarah ek maa hame palti hai hamame dukh sukh me hamari dekhbhal karti hai hame chalna bolna sikhati hai maa baap ki hi ungli pakad ke ham bade hote hai maa hamesha hame galat raste paar jane se rokti hai.maa hame acche bure ka gyan karati hai maa hi hamari pratham shikshak hoti hai jo hame har chij me nipoorn karti hai.maa hamesha apne bachho ko khub pyar karti hai.aaj mai apne is artical me ke bare me hi baat karoonga yadapi yah post kafi chhota hai lekin mai gurantee ke sath kah sakta hoon ki ye post aapko kafi acchi lagegi.
Maa:-maa ek khoobsurat shabd hai maa bhagwani ke dwara banai gai sabse sundar moorat hai,jo har bacche ko duniya me aane ka sundar awsar deti hai,wah apne baccho ko pyar karti hai,kabhi- kabhi we thoda kathor vyavhar karti hai lekin wah yah kathor vyavahar hamare bhalai ke liye hi karti hai kahi na kahi is kathor vyavhar me maa ki mamta chhipi huyi rahti hai,maa aur bachhe ka is sansar me ek anokha rista hota hai,maa hame sansar ki har buraiyo se bachati hai ham par kisi bhi cheej ka galat saya nahi padne deti hai,maa hemesha apne baccho ke bhavisya ke bare me chintit rahti hai,maa pyar aur dular ka samandar hoti hai,maa ka sthan is sansar me sabse ucha sthan hai ma ka sthan koi bhi nahi le sakta hai.Maa apne baccho ki ek aisi sathi hoti hai jo apne bachho ka sath kabhi nahi chhodti hai chahe dukh ho ya sukh maa hamesha apne bachho ka sath nibhati hai bhale hi sara sansar hamare sath chhod de lekin maa hamara sath kabhi bhi nahi chhodti hai.maa ek devi ka roop hai aur pita ek devta ka roop hote hai yadpi hamne devi devta ko nahi dekha hai isiliye bhagwan maa aur baap banaye hai jo devi aur devta se bhi badkar hamare zidagi ke liye hote hai.maa apne baccho ko khusi dene ke liye lakho dukh sahti hai ki uske bacche ko kisi bhi tarike se dukh naa ho.
maa hamesha apne bacche ko acche bure ke baare me batati hai apne bacche ko daya dharm daan punya karna sikhati hai maa hi hamari jeevan ki pratham sikshak hoti hai.Maa ka  hi aashirvad hota hai jo hame kisi bhi bure shakti se ladne ka taakat deta hai,maa hame nau mahine 
apne kokh me rakhti hai lakh dukh dardo ko sah ke hame we bada karti hai aur is kabil banati hai ki ham apne pairo par khade ho sake,maa ka sthan is sansar me koi nahi le sakta hai maa wah diya hoti hai jo khud jalkar apne baccho ko roshan karti hai,to hame bhi kuch aisa karna hai.jisse hamare papa kaa naam roshan ho jisse hamari maa bahut jyada khus ho.is sansar me maa k a mahatva kabhi kam nahi ho sakta hai aur na hi is sansar me maa ka sthan koi le sakta hai               जिसकी की आँचल की छाया मे,
                         बचपन मेरा बिता है  
              जिसकी ऊँगली पकड़ पकड़ कर
                         चलना मैंने सीखा है
              जिसने शिक्षा दी मुझे
                          हर बुरे कम से बचने की,
               रह जिसने मुझको दिखाई है,
                          सही मार्ग पर चलने की।
                जिसने मुझे सिखाया है,
                         हर मुश्किल से टकराने 
                विपदायें कितनी भी आये
                            उनसे ना घबराना।
                      सारी खुसिया दी मुझको 
                          सारे जहां से लाकर  
                   धन्य हुआ मेरा जीवन
                         ऐसी माँ पाकर ।                                                             

 Maa mamtamayi hoti hai apne bacche par wah bhar bhar kar mamata nyochavar karti hai maa hai jo is sansar me hamse sabse jyada pyar karti hai apne dukh sookh ko naa dekhar maa apne bachho ke khusi se sukhi rahti hai aur dookh se dukhi rahti hai.Maa ka sthan is sansar me sabse ucha hai uski jagah na koi le sakta hai aur koi kabhi le  payega.
                 Published by ashwni chaudhary

Yadi aapko kisi bhi topic pe jaankari chahiye to mujhe aap comment me likh ke bhej sakte hai .

No comments:
Write comments