Translate

Monday, 5 December 2016

Convert 3gp file to avi,flv, and other file format

 

Aaj ham apne is artical me baat karoonga ki kis tarah se ham apne mobile ke video format ko avi,mov,mpeg,flv,Wmv,mkv me change kar sakte hai. Dosto jab ham log kisi dost,ristedar ya kisi anya se jab ham videos lete hai to wah computer me to chal jata hai lekin hamare mobile me liye gaye video ka format support nahi karta hai kyonki hamara mobile ka video format kuch aur hota hai.sath hi sath kabhi - kabhi kuch aisa hota hai ki Telivision ya kisi aur cheez me hame mobile se video bnakar ke audition ke liye bhejna rahta hai lekin hamare movile me us format ka videos nahi ban pata hai aur ham apna audition ka videos ko subbmit nahi kar pate hai tab hamare andar ka talent jo logo ke samne ham apna video banakar ke dikhane wale rahte hai wah wahi par dab jata hai.                    

udharan ke taur par mai apne hi bare me batata hoon ki mujhe 2015 me ek audition dena tha aur audition videos flv,mpeg,mp4,mov,wmv, me manga gaya tha lekin mere mobile me inme se koi video format nahi ban raha tha tab maine internet par khojna chalu kiya  ki koi tarika mil jaye jisse mai asani se apne mobile ke videos format ko badal sakoo.mujhe internet par bahut sa video convert ka kai tarika mila jo ki online video ko convert karne ko kah raha tha.
Aur online videos ko convert karne me bahut dher sare mb ki jaroorat tha lekin mobile me jyada mb nahi tha aur mai apna audition video submitt nahi kar paya.kuch din baad mujhe phir se apne video format ko change karne ki jaroorta padi to is baar maine ek video changer ke bare me soona tha jiska naam 

Total video convertor tha jo ki offline bina mb ke hi hamare videos format ko asani se dusre video format me change kar diya tha isiliye maine aap ke sath ye jankari share kar raha hoon ki aapke satha kabhi aisi problem naa aye aur aap asani se apne video ko convert kar sake.

Aaiye jante hai kaise ham apne mobile ke videos format ko another format me change kar sakte hai :-

Sabse pahle aap playstore se jaa kar ke total video convertor naam ke aap ko download kar lijiye.                    
                           
Ab aap app ko open kijiye

App ko open karne ke baad start aur album ka option dikhega.
                     
Aapko start par click karna hai

Start par click karne ke baad apke mobile ke sabhi video aapko dikhega aapko jis video ko convert karna hai us par click kare

Click karne ke baad apko video change karne ke liye kuch format dikhega aapko jis format me change karna hai us par click kar.
               
Click karne ke baad apko video processing shortly dikhega.
                           

Phir kuch der baad apko video convert succesfully dikhai dega

Bas apke mobile ka video format dusre format me change ho gaya.Aap isko suruat me jakar ke album me dekh sakte hai.

ye chhoti si post aapko kafi madad kregi aapko apne video format ko dusre ko format me cange karne me .

Published by Ashwani chaudhary



No comments:
Write comments