Translate

Saturday 29 October 2016

Dipawali festival of light

 

Aaj ham apne is artical me baat karenge hindu dharm me manaye jane wale ek pavitra tyohar ki jiska naam dipawali hai.Dipawali hindu dharm ka ek mahtvapoorn tyohar hai jisko kartim mass ki amavasya ko manaya jata hai to chaliye jante hai dipawali manane ke pramookh karan ko uski visheshta ko aur uske mahtva ko.
                           Dipawali.                                           


Prastavana:- Prativash kartik mass ki amavasya ke din hindu samaj me dipawali ka parv badi dhoom dham se manatya jata hai.Dipawali ka arth hota hai dipo ki pankti.isdin gharo ko dipo se sajaya jata hai is liye ise dipawali kahte hai.Ek sath asankhya dipo ki jagmagati ladiyo se sampoorn vatavaran prakashit ho uthta hai.Dipmalao ki prajavalit sikhao ki chata dekhte hi banti hai,ghar ghar me lakshmi ganesh ji ki puja hoti hai.Is din log apsi man-mutav ko bhulakar ek dusre ke ghar jate hai aur paraspar mithaiya baat te hai bachho ke liye ye din vishesh khusi ka hota hai,ve rang birange kapro pahankar patakhe chodte hai aur apne dosto ke sath milkar mithaiya khate hai.Dipawali manane ki taiyari mahino pahle se hi suru ho jati hai log apne gharo ki saaf safai karvate hai tatha apne ghar aur dukano par naya rang rogan karwate hai.      

Pauranik evam etihasik mahtva:-Dipawali ka apna ek pauranik mahtava hai.iska sanbandh purano me varnit bhartiye samaj ke prachin itihas se hai.is din kali mata ne raktbeej namak us drust raksash ka sanhar kiya tha,jiske atyachar se sampoorn samaj trast tha us dust rakshas ke sanghar ke baad logo ne apne ghar me ghi ke diye jalaye the.is mangalkari ghatna ki smriti me hi prativarsh yah tyohar kartik mas me manaya jata hai.
                 Ek katha ye bhi hai ki lanka vijay ke baad jab bhagvan shri ram ayodhya apne ghar laute to isi din inka rajyabhisek kiya gaya tha aur sampoorn bharatvarsh me is uplakshya me deep jalakar khusiya manayi gayi kuch log dipawali ka prarambh is din se mante hai.kintu kuch vidwano ka ye bhi manna hai ki dipawali ka parv bahut samay pahle se hi manaya ja raha hai.
   Ek katha ye bhi kartik mass ki amavasya ke din vishnu bhakt prahlad ko jab unke pita Hirankashyap vishnu bhakti ke liye mar dalne ka dand dene jate hai tab narsigh ka autar le kar vishnu ji ne apne bhakt prahlad ki raksha ki tab se bhi dipawali manayi jati hai.
          Is prakar Dipawali manane ke bahut se karan hai jiske wajah se kartik amavasya ke din dipawli manaya jata hai.
   
Vaigyanik drishti se iska mahtva:-Dipawali ka pauranik evam etihasik mahtva to hai hi,lekin iska vaigyanik drishti se bhi mahatva hai.Varsha utpann kido-makudo,jal me  ghas phus evam gandagi ke sadne se utpann vishaili tatha ghar makan me vyapt silan ko door karne me dipawali ki bhoomika bahut mahtvapoorn hai.log dipawali ka tyohar ane ke kai hafto pahle se hi apne ghar evom aas pass ki saf safai karna prambh kar dete hai we log ghar evom dukano ka naya rang rogan karvte hai isse ghar ki silan aur iske kono me chupe kide makaudo ka bhi naas ho jata hai.prachinkal me dipawali ke din sarso ke tel ya ghi ke deepak jalaye jate hai jisse vatavaran shudh hota hai.                                           

Darshanik mahtva:-Dipawali ko prakash ka parv kaha jata hai yah andhere par prakash ki tatha asatya par satya ki vijay ka pratik hai.yah is darshanik tathya ko vyakt karta hai ki andhera kitna bhi ghana ho,gyan aur kartvya ka samoohik dipak us andhere ko prakash me badal deta hai kisi samaj ke uthan ke liye kisi prerak is tathya ko vani dete huye deepmalao ko anginat shikhaye hamse yah kahti hui pratit hoti hai ki hamari trah jalkar dekho tumse bhi prakash ki aisi hi kirne bikhrengi jo samaj me chhaye andhere ko mita degi.

Dipawali se labh:-Dipawali matra ek tyohar hi nahi hai apitu isse anek labh bhi hai ghar muhalle ki safai vatavarn ki suddhi,aapsi sadbhav ki bhavna ka vikas tatha naya naye karya va nai yognao ko prarambh ki prerna ke sath sath dipawali hame andhere se ladne ka sandesh bhi deta hai.

Dipawali si hani:-manusya ek aisa pradi hai jo apne antrik vicharo evom agyantapurvak vyavhro ke dwara kisi labhprad riti riwajo ko hanikarak bana deta hai dipawali ke din jua khelna,sharab pina aur ashist achran se vinash ko amantrit karne walo ki kami nahi hai.aise log ke liye dipawali ka parv labh ke badle hani hi amantrt karta hai.Desh me patakho ke roop me arbo rupya ka barood foonk diya jata hai isse desh ki arthvyavastha to prabhavit hoti hi hai vatavarn bhi pradushit hota hai anek log patakho ke karan hone wali durghtna se grasit hokar ke   apne jivan ko narakh bana lete hai.

Upsanhar:-kisi tyohar ko manane ke samay hame usme nihit kalyankari arth ko samjhana chahiye  dipawali ke tyohar me bhi yahi drishtikod apnana chahiye,tabhi ham iska vastavik anand le sakenge.

            Published by ashwani chaudhary


No comments:
Write comments