Translate

Showing posts with label short stories. Show all posts
Showing posts with label short stories. Show all posts

Tuesday, 6 December 2016

Ek riksawala

 
Aaj mai apne is artical ke madhyam se baat karoonga ek riksawale ke jivav ke bare me jo din bhar kadi mehnat majdoori karne ke baad apna do wakt ka roti kamata hai aaj mai usi riksewale ki marmik dasha ka chitran apne is artical me karoonga to dosto chaliye jante hai ek riksewale ka dard.

Ek riksawala :-

Ek riksa chalane wale ki zindagi middle class ke logo se bilkul alag hoti hai jaha par ek ek middle class ka vyakti din 7-8 ghanta kaam karte hai wahi par ek riksa chalane wala vyakti 13-14 ghante kaam karta hai.Ek rlriksa chalane wala vyakti subah se hi bhuke pyase ek cup chai ke sahare 2 wakt ki roti kamane ke liye nikal padta hai ki kam se kam use do wakt ki kharide ke liye tatha apna aur apne parivar ka pet palne ke liye paryapt rashi kama sake.Ek riksa chalane wala vyakti din bhar kade mehnat aur parishram karne ke baad do wakt ki roti kama pata hai jab ek riksa chalane wala vyakti riksa lekar subah subah nikalta hai to use yah maloom nahi hota hai ki aaj use koi grahak milega ya nahi thand ho, barsat ho,jada ho, dhup ho ek riksa chalane wala har samay apne kaam par laga rahta hai,wah ek din ki chhuti par bhi nahi rahta hai kyonki wah janta hai ki use har din kunwa khod kar pani pina hai yani ki yadi we ek din ka bhi chhuti par raha to we kya khayega aur apne bibi-bachcho ko kya khilayega.Ek riksachalane wale zindagi kathin parishram aur sangharsh ka naam hai.kabhi kabhi ek riksewale ki dasa atyant marmik aur daniye dekhno ko milti hai kyonki unke paas ek jodi kapda aur khane ke liye paryapt  dhan nahi hota hai,Riksa chalane wala ka yah chitran hamare abkho me ashu le aata hai,Hame ek riksa chalane wale ke prati daya ka bhav rakhna chahiye.Ek riksa chalane wala vyakti din bhar isi pryas me laga rahta hai ki koi sawari aakar ke unke rikse pe baithe jisse ki wah do wakt ki roti ka intezam kar sake,jab ek riksachalane wala vyakti subah subah nikalta hai to uske dimag aur man me lakho prashann uthte hai ki kya use koi grahak milega ya nahi? kya wah do wakt ki roti kamane me aaj safal ho payega ya nahi? uska din kaisa bitega? Aise anek sawal uske dil aur dimag me chalte rahte hai.Kabhi kabhi aisa hota hai ki ek riksa chalane wala vyakti din bhar idhar udhar apna riksa lekar bhatkta rahta lekin use koi sawari nahi milta hai tab jisse uske paas kuch bhi rupya nahi ho pata hai jisse ki we apna pet bhar sake aisi dasa me ek riksa wale ko bhuke pet raat bitani padti hai.Ek riksawala kis prakar apne bibi bachcho ki avasyaktao ko pura karta hai ye ham aur aap kabhi nahi jan sakte hai ye to sirf uppar wala ya phir we ruksawala hi janata hai.Ham aur aap to keval kuch hi der kaam karne ke baad hi thak jate hai sochiye ek riksawala din bhar apna riksa idhar udhar bhajta hai to sochiye we kitna thak jata hai ham aap to jab thak jate hai to kisi na kisi se apni sewa karwa lete hai arthath apna sir pair dabwa lete hai pura badan dabwa lete hai lekin ek riksa chalane wala vyakti aisa bhi nahi karva sakta hai kyonki we apne parivar ko chod kar bahut door kamane khne ke liye aata hai.Ham log ne bahut baar aisa dekha hoga   ki yadi ek riksa chalane wala wala vyakti kisi gadi wale se achank apna riksa leke lad jata hai tab gadi wala us ladke ko khub gali galauch deta hai aur usse harjane ka paisa bhi mangta hai bechara riksa wala sidha sadha hone karan paisa bhi de deta hai,lekin jab iske wiprit koi gadi wala riksa chalane wala ko thokta hai to tatha jab rikse wale ka kuch nooksan hota hai to gadi wala riksewale ko garib,besahara,lachar,samajh kar use harjane me kuch bhi nahi deta hai aur apna rob jamate huye chal jata hai,aisi sthiti me ek riksawala ki kya dasha hoti hai wah ek riksawala hi janta hai bechara,riksawala,dono taraf se pisha jata hai,kuch kuch log to aise hote hai jo khud ki galti hone par bhi riksewale se hi hatha pai kar lete hai yah sochkar ki ek garib,besahara,lachar riksa chalane wala vyakti kya kar payega.Ham log apne gharo me bane khana ko khane me bhi nakhda karte hai lekin ek riksawala kharb chijo ko bhi achcha samajh kar khata hai.Ek riksa chalane wale vyakti ki bhi dili ichcha hoti hai ki wah apne bhi apne bachcho ko pada likha sake unhe bhi bada aadmi bana sake lekin paristhiti aur halat ek riksawale ke aise nahi hote hai ki wah apne bachcho ko pada likha sake unhe uchch shiksha pradan lar sake.Ek riksa chalane wala vyakti itna mehnat,majdoori karta hai phir bhi kuch kya bahut se log aise hote hai jo riksewale ko unki mangi gayi rakam nahi dete hai shayad aise logo ko un riksawala ke dookh dard ki sththi ka pata nahi hota hai isiliye maine ye post likha hai ki aap log bhi ek riksewale ki sthiti ko jab sake aur unke prati  daya aur sadbhavana ka bhav rakh sake tatha unke dwara mange gaye rakam unko poora de jisse ki we bhi apne bachcho ko uchi talim aur achchi parvarish de sake.

Published by Ashwani chudhary

Tuesday, 8 November 2016

Do mitra ki sacchi dosti

 
Aaj mai aapke samne do mitro ki sachchi dosti pe ek short story sunane jaa raha hoon ki kis prakar ek  raja do dosto ki girftar kar leta hai aur dusra dost use bacha ta ye sab dekh ke raja ka dil pighal jata hai we un dono ko chhod deta hai wastav dosti bhagwan ke dwari banayi gayi ek sundar vastu hai dosti ke bare me aur janne ke liye yaha click kare Dosti bhagwan dwara di gayi sundar vastu dosti hi ek rista hota hai jisko ham khud chunte hai dosti nibhane ke liye kai log apna jan bhi de dte hai. Dosti ke bina ye sansar adhoora hai.Aaiye chalte hai dosti story padte hai.
                              

                                Do mitra

Do mitra the. ek ka naam vishal aur dusri ka naam suresh tha. ek raja tha wah bahut atyachari tha.usne dosh lagakar ke vishal ko kaid kar liya phir use phasi ki saja suna di.Phasi dene se pahle vishal se puccha gaya-tumhari antim ichcha kya hai? Vishal ne kaha -" mai apne parivar se milna chahta hoon…'' 
Raja ne kaha-"Vishal ke badle koi dusra aadmi jail me rahne ko taiyar ho,to vishal ko kuch din ke liye chutti di jaye.'Suresh ne raja ki baat man li .wah mitra vishal ki jagah jail me rahne ke liye taiyar ho gaya.Vishal apne parivar se milne ghar chala gaya .
Laut te samay hawa ulti chalrahi thi vishal ki naaw thik samay par nahi pahuch saki.Suresh ke man me anand ki lahre uth rahi thi aah!sachche mitra ke liye  ab mera jivan kaam ayega."
udhar vishal soch raha tha -hay! Kahin mai samay par na pahuch saka to,to mere pyare mitra suresh ko phasi ho jayegi. Phasi ka samay aa gaya suresh ko phasi ke machan pr chada diya gaya suresh prasann tha ki wah apne priye mitra ke liye Apna jaan dene jaa raha hai.
Log kahne lage ki- Vishal ne bahut bura kiya apne hi dost ke sath dokha kiya hai.
Suresh ne chillakar kaha-aisa mat kaho koi karan hai jiske karan wah samay par nahi aa saka phir usne jallad se kaha -bhai samY ho gaya hai,tum der kyon kar rahe ho samay dekhar jallad bhi taiyar ho gaya  itne me door se awaj aai -tharo tharo,mai vishal hoon phasi ki saja mujhe hui thi dekhte dekhte vishal ghoda par daudta wah jhat jin se koodkar machan par chad gaya usne suresh ko gale laga diya . Dono ke ankho se ashu barasne lage.
Yah sab dekhar Raja ke ankho me ashu aa gaya -dono machan se utar aao mai aise sachche mitro ki jodi ko todna nahi chahta hoon mai chahta hoon ki toom log mujhe bhi apna mitra bana lo yah kahkar raja ne dono mitro ko chod diya.
is kahani se hame yah sandesh milta hai ki sachche mitro ki jaroorat har kisi ko hoti hai sachche dost mil jaye to logo ka jivan swarg ban jata hai sachche mitra dosti ke liye apne jaan bhi de sakte hai isliye aapbhi jisse doati kijiye uske sath apni dosti badi imandari se nibhaiye.

             Published by Ashwani chaudhary

Monday, 7 November 2016

Ek Ghamandi ghoda

 
Aaj mai aapko jo story batane jaa raha hoon usme ek ghamandi ghoda rahta jo apne ko kafi sundar aur shktishali samjhata hai apne isi ghamand me anek logo ki jaan le leta hai.To chaliye age ki kahani ke baare me jante hai.

   Ek ghamandi ghoda :-

Ek ghoda tha wah bahut sundar aur shaktishali tha lekin uski ek burai thi ki  wah logo me sirf dosh dekhta tha.Ek din wah daudte daudte sahar me aa gaya hai.Sadak par daudte daudte wah gadio ke beech me phas gaya ek kishan ne us ghode ko bacha liya.Ghode ne socha ki kishan use pakadne ke liye uski madad ki hai isliye ghoda kishan ko mar deta hai.Aagey chalkar us ghode ko ek nadi dikhti hai ghoda nadi me pani pine ke liye jata hai tab uska pair phisal jata hai aur wah nadi me  gir jata hai.Nadi ke kinare ek dhobi kapda dhota  hai wah dhobi ghode ko nadi me doobne se bacha leta hai.Yaha par bhi ghoda Dhobi ko dhanyabd dene ke bajay  usse kahta ha,tum mujhe apna gulambanakar mujh par apna saman ladna chahte ho mai tumhe nahi chodunga is tarah wah dhobi par bhi shak karke uski hatya kar deta hai aur wapas jangal me aa jata hai.Kuch din baad ek sikari jangal me sikar karne ke liye aata hai sikari ghode ko sota dekhkar use teer se ghayal kar deta hai,ghoda chillane lagta hai ghode ki awaj sunkar ek rajkumari uske paas aati hai. Rajkumari jakhmi ghode ke sharir se teer nikalkar bahar fek deri hai aur ghode ko bacha leti hai.Ghoda rajkumari se bhi yahi kahta hai ki-Rajkumari tumne mujhe is liye bachaya hai ki toom mujhe apna gulam bana sako mujhe gulami pasand nahi hai aagey ghoda kahta hai mai toomhe bhi maar doonga tab rajkoomari volti hai-mere paas tumse bhi adhik aur shaktishali ghoda hai,mujhe aise ghodo ki jaroorat nahi jo logo ki acchai na dekhakar sirf unki burai dekhta hai yah sunkar ghoda ko ahsas hua ki wah galat hai.
ghoda apne kiye par rone laga usne kaha,maine bahut badi galti kar di hai.log mere paas meri madad ke liye aur mai galat samajh kar unhe mar deta tha.Mujhe maaf kar do mai tumhara abhari hoon ki tumne meri ankhe khol di,Rajkumari boli tumhe apni galti ka ahsaas ho gaya to maine bhi tumhe maaf kar diya ab se  logo par bharosa bhi karna sikho.
is kahani se hame yah shiksha milti hai  ki dusro par bhi hame bharosha kar na chahiye mai ye janta hoon ki aaj ke jamane me kisi pe bharosa nahi kiya ja sakta lekin aapko unlogo par jaroor vishwas karna chaihiye jo aapke vishwas ke kabil hai

PUBLISHED BY ASHWANI CHAUDhary



Saturday, 13 August 2016

Azadi kya hai...

 
AZADI KYA HAI :-Azadi kya hai is sawal ka jabab aaj tak koi theek se nahi bata paya akhir azadi hai kya?kuch log azadi  ka matlab mante hai ki sundey ko milne wali chutti hai.Kuch logo ko manna hai sabhi riste nate chodna azadi hai kuch log mante hai ki bina rok toke jivan jine ka naam azadi hai lekin mai asli azadi wah manta hoo jo hame bapu aur anya krantikario ne milkar dilai thi wahi asali azadi  hai yadi unlogo ne ham yah azadi nahi dilai hoti to ham is prakar azad na hote.gandhi ji Subhashchandra bose, Bhagat singh,Chandrasekhar azad, jawahar lal nehru,aur anek mahan mahan krantikariyo ne milkar angrejo ki gulami se Azadi dilayi thi mai asali azadi use ko manta hoon.Un loga ne apne jindi ko khule taur par nahi jiya hamesha isi me lage rahe ki hamara desh kisi prakar azad ho jaye.Angrejo ke mar pit khakar aur anek dukh dard sahkar hame azadi dilayi hai jiske karan ham chain ki saas le rahe aur khule asaman ke niche sir utha ke Jee rahe hai in khuli hawayo me saas le paa rahe hai.asli azadi in maham krantikariyo ne hame dilayi.In bade-bade krantikariyo ne yeh kabhi nahi socha hoga ki ane waale samay me hamara desh itna lalchi, beimaan aur bhrastra ho jayega hamare desh me itni beymani hone lagegi.Warna in anek krantikariyo  shayad is desh ko azad karaya hota.wah nahi jante the ki charo aur bimari,bhukhmari,loot kapat,apna pair pasaar le gi aur log apne pet ki bhookh mitane ke liye ek dusre ka khoon katlkarne se bhi nahi hichkichayenge warna in krantikario  ne kabhi desh azad na karwaya hota aur aaj ham gulam hi rahte.To chaliye ham milkar yah pran lete hai ki apne desh ko jhut, fareb, beiymaani, bimari, bhookhmari, bhrastachar, garibi, aadi samasyon ko dur karke apne desh ko saaf sundar tatha samayao se swatantra kare Samaj me ek parivantan ki lahar bahaye jisme sab imandar ho logo ke dukh dard samjne wale ho.Aur is mahan swatantra desh ko phir se sone ki chidiya banyae.
Bharat mata ki jay ho                                                                                                                            Jisko apne bharat desh prem ho wah jarur ise like kare aur comment me like likh ke bheje.                                                                                                Published by Ashwani chaudhary.