Dosto jab ham log blog banante hai to ham bahut jyada excited rahte hai ki hamara naam bhi internet par chhayega ham log bhi apne acharo,vicharo,aur buisness ko world ke samne rakh sakenge tatha online paisa bhi kamayenge lekin jab hamare blog ya website par traffic nahi aata jo ki paisa kamane keliye bahut jaroori hota hai tab ham sochte hai ki hamare blog ka naam ye nahi hona chahiye tha balki kuch aur hona chahiye tha jab ham apna blog banate hai to itne jyada excited hote hai ki ham apne naam par phir man me jo bhi akdam-bakdam chalta hai usi ke naam par ham apne blog ya website ka naam rakh dete hai lekin dhire-dhire jaise ham blogging ke chhetra me purane hote hai to hame lagta hai ki hane apne blog ya website ka naam galat rakh diya hai.Iske baad ham apne blog ka Tittle change karne ko sochne lagte hai jab ham tittle change karne ke bare me sochte hai tab ham apne blog ka url ko bhi change karne ke bare me sochne lagte hai lekin blogging ki jyada janari na hone ke karan ham apne blog ka naam aur url change nahi kar pate hai iske baad internet par iska solution dhoodne lagte hai internet par hame bahut sare blog a website milte hai jo hamare problem ko solve karne ka rasta batate hai lekin we solution itne confusing hote hai jo hamare problem ko solve karne ke bajaye aur bada dete hai.Blog banate samay sabse importan chij hamare blog ka tittle aur url hi hota hai kyonki jitna accha aur short hamare blog ya website ka tittle aur url hoga utne hi visitor hamare blog ko yaad rakh sakenge aur hamara blog par visit karenge isliye aap jab bhi jab bhi blog ya website banaye to
aap tittle aur Url ko short aur accha rakhene ho sake to blog banane ke kuch samay pahle se hi apne blog ya website ka tittle aur url soch kar rakh le phir age chalkar blog banante hai samay usi blog aur url ko use kariye agar aisa aap nahi karenge to age chalkar aapko tittle,url sambandhit samasya jhelna padega to chaliye jante hai ki blog ke tittle aur url kaise change karte hai.
aap tittle aur Url ko short aur accha rakhene ho sake to blog banane ke kuch samay pahle se hi apne blog ya website ka tittle aur url soch kar rakh le phir age chalkar blog banante hai samay usi blog aur url ko use kariye agar aisa aap nahi karenge to age chalkar aapko tittle,url sambandhit samasya jhelna padega to chaliye jante hai ki blog ke tittle aur url kaise change karte hai.
Blog ka tittle aur url change kare :-
- Sabse pahle aap apne blog ke account ko open kijiye aur apne blog ke dasharbord par jayiye.
- Ab aapko setiing ke option par click karna hai.
- Setting ke option par click karne ke baad aapko basic setting me jana Hai.
- Ab basic setting me tittle ka option dikhega is option ke samne aapko Apne blog ka tittle hoga jiske samne edit likha hoga .
- Ab apko edit button par click karna hai aur apko apne manpasand tittle dalkar save kar dena hai.
- Thik isi prakar apko apne blog ka url bhi change karna hai.aapke basic setting me tittle ke 2-3 step niche blog adress ka option hoga aur uske samne bhi edit button hoga .
- Ab apko ye karna hai ki edit button par click karna hai aur apne jo url socha hai use dalkar save kar dena hai.
- Bus apke blog ka url aur tittle change ho gaya hai dhyan dene layak baat yah hai ki apne blog ka url change karne ke baad ise search engine me submit karna naa bhoole.
Publised by Ashwani chaudhary
No comments:
Write comments