Translate

Sunday 2 October 2016

Gandhi jayanti(2 october)

 

Aaj ham apne is artical me baat karenge gandhi ji ke achar-vichar,sanskar aur unke yogdano ke bare me ki kis tarah gandhi ji ne hamare desh ko azad karane me aham bhoomika nibhai thi to der na karte huye chaliye gandhi ji ke bare me jante hai.                                                 
Gandhi jayanti:- Aaj 2 -october hai aaj ka din ham deshvashiyo ke liye bahut mahtavapoorn hai.Aaj ke din hamare desh ke Rashtrapita mahatma Gandhi ji ka janm huya tha Aaj hi ke din Gujrat ke porbandar me san 1869 me Gandhi ji ne janm lekar hamare dharti ko pavitra aur pawan kiya tha.Gandhi ji ka poora naam Mohandas karmchand gandhi tha.Gandhi ji ko pyar selog bapu bhi kahte hai. Gandhi ji ke pita ka naam karmchand gandhi tha aur mata ka naam putli bai tha.Gandhi ji jati ke vaisya the.Gandhi ji hamare desh ke Rashtrapita hone ke sath-sath ek mahan krantikari aur ek mahan swtantrara senani bhi the.Gandhi ji ek aise krantikari the jinohone apne jivan me kabhi bhi hinsa ko badava nahi diya aur na hi kabhi hinsa ka samarthan kiya.Gandhi ji ne hamesha Ahinsa ka marg ko chuna wo Ahinsa ke pujari the.    
Gandhi ji ne apne jivan me sadayev Ahinasa ke marg par chalte rahe. Gandhi ji ke Ahinsawadi vicharo me itni shakti tatha itni takat thi ki angrejo ko bhi apna sar jhukana pada Jo chij logo ke chaku,Bandook,Talwar adi na kar sake usko Gandhi ji ke vicharo aur bato ne kar dikhaya.Gandhi ji bahut sidhe-sadhe saral aur shant swabhav ke vyakti the.Gandhi ji bahumukhi pratibha ke dhani the.Gandhi ji ka manna tha Na bura dekho,Na bura soche,aur Na bura bole.   
                   
  Gandhi ji ne hamesha styag ke marg ko apnate the.Gandhi ji ne kabhi asatya ke marg ko nahi chuna aur nahi kabhi asatya bola.Gandhi ji hamare des ko azad karane me ek bada yogdan diya tha.Gandhi ji ke acharo aur vicharo se kafi log prabhavit huye the agar Gandhi ji na hote to shayad hi hamare desh ko angrejo ki gulami se  azadi mil pati.Gandhi ji ne apne jivan me sadev deen dukhiyo aur beshahro ki madad ki unhe ashray diya Gandhi ji desh ko azad karane ka bigul bajaya tha.Gandhi ji ne kabhi bhi apne aap ko tabajju na dekar hamesha desh aur Rashtra ko tabajju diya,Gandhi ji ne hamesha des ki bhalai ke bare me hi socha Gandhi ji har dhram ko manante the Gandhi ji hamesha dusro ke dukh ko apna dukh samajhte the.    
Gandhi ji shiksha ke chhetra me bhi aham yogdan diya tha vardha shiksha yogna,Basic shiksha yogna,Buniyadi shiksha yogna Gandhi ji ki hi den hai.Gandhi ji ko desh azad karane ke liye kai baar-baar jel bhi jana pada Gandhi ji ek mahapurus the.    वाह  तूफ़ान था वाह आन्धी था
               वाह सत्य आहिन्सवादी था
          वाह सत्य क बस आदि था
               आहिन्सा हि उसका नारा था                                 ना सूट ना पैन्ट ना कोट
               तन पर उसके एक लन्गोट थि                              वाह सिल्क रेस्मी क्या जाने
              वस्त्र प्यारा उसका खादी था
          वाह था तो देश मे रौनक थि
              क्यों अंत नही वाह अनादी था
          वाह क्रांति की एक आन्धी था
               स्वतंत्रता हि उसका सपना था
     मक्सद उसका भारत की आज़ादी था
              खुसियो की वाह एक्वादी था
          सब कहते है बापू उसको,
       नाम उसका माहतमा गांधी था    
                       

           
 swatantrata aur shiksha ke chhetra me Gandhi jivdwara diye gaye yogdano ko  kabhi bhi nahi bhulaya ja sakta hai Gandhi ji dwara kiye gaye andolano ko bhi ham nahi bhula sakte hai .Aaj ke is pratogita bhare jamane kahi na kahi ham Gandhi ji ke adarsho unke dwara kiye gaye andolano bhul rahe hai.Aaj Gandhi ji ke mahatva ko bhulaya ja raha hai yahi karan hai ki aaj unke upar anek chutkulke aur mazak bhari bate likhi ja rahi hai.
mai apse savinay nivedan karta hoon ki yadi aap log Gandhi ji anya mahapurso ke Baare accha nahi soch sakte hai unke mahtava ko nahi mahsoos kar sakte hai to please unhe kisi bhi prakar ke mazak ya phir chutkullo ka patra na banaye.                                                                                
published by   अश्वनी चौधरी  

No comments:
Write comments