Apradh aur Apradhi:-Aaj hamare desh me apradh ki samasya Kafi jyada bad gayi hai aaj apradh charo or apna pair pasaarte hue dekha ja sakta hai.Chota shahar ho yah bada shahar har jagah apradh dekhno ko milta hai Apradh din pratidin ek vikral roop dharan kar raha hai aaye din apradhi ghatnaye dekne aurp sunne ko milti hai Apradh karne wale apradhi koun log hote hai akhir apradhi bhi to hamari tarah ek aam insaan hote hai to phir kya karan hai ki wah apradhi ban jate hai iska pramookh karan mujhe lagta hai ki desh me faile garibi,bhrastachar,berojgari,uchit ajivika uparjan na kar pana,prem me dhokha ,pakchapat,badla aur bhi anek karan hai jiske karan ek sadharan vyakti apradhi ban jata hai.koi bhi vyakti janm se apradhi nahi hota hai samaj ke halat aur paristhi hi ek vyakti ko apradhi banne par majboor karta hai.Dekha jai to yah samaj hi ek apradh aur apradhi ko janm deta hai. Ek sadharan vyakti kis prakar apradhi banta hai aayiye jante hai:- Berojgari:-Berojgari bhi aaj logo ko apradhi banane me apna pura hath aur sath de rahi hai.Aaj ke samay jab ek ladka ya ladki highly qualifeid hote hai aur uske andar kuch karne kuch banne ka sapna liye yah sochta haiP nukri pakar wah apne sapno,armano,iccha ko pura karega kintu jab wah naukri nahi pa pata hai aur apni icchayo aur armano ko pura nahi kar pata hai tab wah apne iccha arman sapno ko pura karne ke liye apradh ke raste par chal padte hai aur apradhi ban jata hai. lalach:-Aaj lalch bhi logo ko apradhi banane me mahatvpoorn bhoomika nibha raha hai.Aaj ek vyakti apne sukho se khus na hokar dusre ke chijo se sukhi hota hai is waqtlalach ki bhawana janm leti hai. Dusro ki cheejo ko dekhar ek vyakti lalchi ho jata hai phir wah us cheej ko pane ke liye kisi bhi had tak chala jata hai jab jab vyakti lalach ki huyi saman,ko pane asamarth ho jata hai tab uska lalach charam sima par pahucha jata hai aur lalch kiye huye cheej ko pane ke liye wah apradh karne lagta hai aur apradhi ban jata hai. Badla:-Aaj badla lene ki bhavna bhi ek vyakti ko apradhi bana deti hai.Jab ek vyakti apne maa,baap,bhai,bahan par hone wale atyacharo ka badla lene ke liye dusro par atyachar karne lagta hai tab wah apradhi banne ke raste par chal padta hai kyoki wah apne badle lene ku bhavna me anek masoomo aur nirdosh ki jaan le leta hai tab wah puri tarah apradhi ban jata hai. Acche se ajivika na kama pana:-jab ek vyakti acche tarike se ajivika nahi kama pata hai aur apne parivar ke sadasyo ki jarori avasyaktao ko pura nahi kar pata hai to wah sabke najro me gira jata hai parivar ke sadasy usse kam prem karne lagte hai.aisi sthiti me ek apne parivar ki avasyaktao ko pura karne ke liye galat tariko se ajivika uparjan karne lagta hai aur apradh ke raste par chal padta hai aur apradhi ban jata hai. Pyar me dhoka khana:-jab ek ladka ya ladki kisi se ataydhik pyar karta hai uske liye kuch bhi karne ke liye taiar rahte yaha tak ki wah apna jaan dene se bhi nahi hichkichata hai tab ek ladka ya ladki jab prem me dhokha pa jata hai tab wah apradh ke raste par chal padta hai aur khooni,badmash,gunda,atankwadi ban jate hai aur apradho me sanlagn ho jata ai. Is tarah ham dekh sakte hai ki apradh aur apradhi dono samaj ki hi upaj hai aur yah bhi dekha jata hai ki apradh ke kitne kuprabhav hai jisse ham sab kisi na kisi prakar se prabhavit hai. published by ashwani chaudhary
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Write comments