Translate

Sunday 4 December 2016

Kamyabi kaise paye

 

Success kaise parapt kare:-


Aaj ham apne is artical me baat karenge ki success kaise prapt kare,success yani ki kamyabi ham kaise paa sakte hai yah sawal to ham sabhi ke man me dilo dimag me hamesha chalta rahta hai ki success kamyabi kaise hasil kiya jaye lekin iska uttar hame bahoot dhodhne par bhi nahi milta hai.Aaj ke is competion bhare jamane me success kamyabi prapt karna itna asan nahi hai.Aaj ke jamane me har koi ek dusre ki pichche kar apne aap ko kamyabi sucess ki uchaiyo par dekhna chatha hai shayaad hi koi aisa vyakti ho jo khud ko success ki uchaiyo par naa dekhna chahta ho.
     
Jab ham apne zindagi me success pane ke liye kuch naya kuch alag karne ko sochte hai to ye duniya hame pagal,buddhu,bevkoof,aadi kai naam se sambodhit karta hai tatha hamare success pane ke disha me hamesha roda bante hai,tang ladate hai lekin hme jamane ko darkinar karte huye apne lakshya yani success ki aur chalna chahiye duniya wale to hamesha aapki success na ho yahi sochenge lekin apko in sab ki parwah kiye bina aagey badna chahiye.
         Hard work is key of success 
Bahit se aise vyakti huye hai jo duniya ki fikr parwah kiye bina aagey badte gaye aur aaj success ki choti par hai jaise Dhiroobhai bani,ms dhoni,sachin tendulkar,narendra modi ji aur bhi kai aise log hai duniya ko ekside karte huye apne lakshya prapti ki or badte rahe in logo ke andar kuch naya karna ka joonoon tha tab jaa ke aaj ye log itni uchaiyo par aur ek prathistit nagrik ke pad par vidyaman hai.in prathistit logo ki success ka raaz inki alag soch mehnat,parishram,dhrid nischay,hi tha.
Ye prathistit aur uche log bhi ek aam admi hi the lekin inki alag soch mehnat,parishram,ne inhe pharsh se arsh par pahucha diya.Ham sabke andar bhi kuch karne ki success pane ichha to hoti hai lekin ham ye nahi samajh pate hai ki  naam kis chhetra me kar sakte hai kis chhetra me ham success prapt kar sakte hai.sabse pahle hame apne andar jhankar ke dekhna hoga aur samajhna hoga ki hamari ruchi kis cheez me hai ham kis chhetra ko sabse jyada pasand karte hai tab jAake hame us chhetra me alag soch rakhne hogi uske baad hame apne alag soch ke sath us chhetra me parishram karna hoga jisme ham ruchi rakhte hai  aur apne uppar vishwas rakhte huye ye dhrid nischay karna chahiye ki ham is chhetra me kamyabi pa sakte hai aur us chhetra me jab ji jaan lagake mehnat karenge tab ja ke ham aap ya koi aur success ko prapt kar sakte hai.yah kahiye ki keval hath par hath dhar ke baithne se success hamare paas aa jayega to aisa kabhi nahi hoga.
Success prapt karne ke liye hame kadi mehnat aur parishram karna hoga tatha success pane ke liye ek alag soch ka rahna bhi bahoot jaruri hai tab jaa ke ham ek kamyab vyakti ban sakte hai.
A crash corse of succsess
harne ke liye nahi balki jitne ke liye khele

Dusro ki galtiyo se sikhe 

jitna pate hai usse adhik de

Bina kuch diye pane ki ummis na rakhhe

Hamesha door ki soche

Apne majboor pahluo ko jane aur unki buniyado par apna vikas kare

Faisla lete samay hamesha halat ki vyapak tsveer ko dhyan rakhe 

Apne sachchi ke sath kabhi samjhauta naa kare

Published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments