Translate

Monday 7 November 2016

Ek Ghamandi ghoda

 

Aaj mai aapko jo story batane jaa raha hoon usme ek ghamandi ghoda rahta jo apne ko kafi sundar aur shktishali samjhata hai apne isi ghamand me anek logo ki jaan le leta hai.To chaliye age ki kahani ke baare me jante hai.

   Ek ghamandi ghoda :-

Ek ghoda tha wah bahut sundar aur shaktishali tha lekin uski ek burai thi ki  wah logo me sirf dosh dekhta tha.Ek din wah daudte daudte sahar me aa gaya hai.Sadak par daudte daudte wah gadio ke beech me phas gaya ek kishan ne us ghode ko bacha liya.Ghode ne socha ki kishan use pakadne ke liye uski madad ki hai isliye ghoda kishan ko mar deta hai.Aagey chalkar us ghode ko ek nadi dikhti hai ghoda nadi me pani pine ke liye jata hai tab uska pair phisal jata hai aur wah nadi me  gir jata hai.Nadi ke kinare ek dhobi kapda dhota  hai wah dhobi ghode ko nadi me doobne se bacha leta hai.Yaha par bhi ghoda Dhobi ko dhanyabd dene ke bajay  usse kahta ha,tum mujhe apna gulambanakar mujh par apna saman ladna chahte ho mai tumhe nahi chodunga is tarah wah dhobi par bhi shak karke uski hatya kar deta hai aur wapas jangal me aa jata hai.Kuch din baad ek sikari jangal me sikar karne ke liye aata hai sikari ghode ko sota dekhkar use teer se ghayal kar deta hai,ghoda chillane lagta hai ghode ki awaj sunkar ek rajkumari uske paas aati hai. Rajkumari jakhmi ghode ke sharir se teer nikalkar bahar fek deri hai aur ghode ko bacha leti hai.Ghoda rajkumari se bhi yahi kahta hai ki-Rajkumari tumne mujhe is liye bachaya hai ki toom mujhe apna gulam bana sako mujhe gulami pasand nahi hai aagey ghoda kahta hai mai toomhe bhi maar doonga tab rajkoomari volti hai-mere paas tumse bhi adhik aur shaktishali ghoda hai,mujhe aise ghodo ki jaroorat nahi jo logo ki acchai na dekhakar sirf unki burai dekhta hai yah sunkar ghoda ko ahsas hua ki wah galat hai.
ghoda apne kiye par rone laga usne kaha,maine bahut badi galti kar di hai.log mere paas meri madad ke liye aur mai galat samajh kar unhe mar deta tha.Mujhe maaf kar do mai tumhara abhari hoon ki tumne meri ankhe khol di,Rajkumari boli tumhe apni galti ka ahsaas ho gaya to maine bhi tumhe maaf kar diya ab se  logo par bharosa bhi karna sikho.
is kahani se hame yah shiksha milti hai  ki dusro par bhi hame bharosha kar na chahiye mai ye janta hoon ki aaj ke jamane me kisi pe bharosa nahi kiya ja sakta lekin aapko unlogo par jaroor vishwas karna chaihiye jo aapke vishwas ke kabil hai

PUBLISHED BY ASHWANI CHAUDhary



No comments:
Write comments