Aaj mai aapke samne do mitro ki sachchi dosti pe ek short story sunane jaa raha hoon ki kis prakar ek raja do dosto ki girftar kar leta hai aur dusra dost use bacha ta ye sab dekh ke raja ka dil pighal jata hai we un dono ko chhod deta hai wastav dosti bhagwan ke dwari banayi gayi ek sundar vastu hai dosti ke bare me aur janne ke liye yaha click kare Dosti bhagwan dwara di gayi sundar vastu dosti hi ek rista hota hai jisko ham khud chunte hai dosti nibhane ke liye kai log apna jan bhi de dte hai. Dosti ke bina ye sansar adhoora hai.Aaiye chalte hai dosti story padte hai.
Do mitra
Do mitra the. ek ka naam vishal aur dusri ka naam suresh tha. ek raja tha wah bahut atyachari tha.usne dosh lagakar ke vishal ko kaid kar liya phir use phasi ki saja suna di.Phasi dene se pahle vishal se puccha gaya-tumhari antim ichcha kya hai? Vishal ne kaha -" mai apne parivar se milna chahta hoon…''
Raja ne kaha-"Vishal ke badle koi dusra aadmi jail me rahne ko taiyar ho,to vishal ko kuch din ke liye chutti di jaye.'Suresh ne raja ki baat man li .wah mitra vishal ki jagah jail me rahne ke liye taiyar ho gaya.Vishal apne parivar se milne ghar chala gaya .
Laut te samay hawa ulti chalrahi thi vishal ki naaw thik samay par nahi pahuch saki.Suresh ke man me anand ki lahre uth rahi thi aah!sachche mitra ke liye ab mera jivan kaam ayega."
udhar vishal soch raha tha -hay! Kahin mai samay par na pahuch saka to,to mere pyare mitra suresh ko phasi ho jayegi. Phasi ka samay aa gaya suresh ko phasi ke machan pr chada diya gaya suresh prasann tha ki wah apne priye mitra ke liye Apna jaan dene jaa raha hai.
Log kahne lage ki- Vishal ne bahut bura kiya apne hi dost ke sath dokha kiya hai.
Suresh ne chillakar kaha-aisa mat kaho koi karan hai jiske karan wah samay par nahi aa saka phir usne jallad se kaha -bhai samY ho gaya hai,tum der kyon kar rahe ho samay dekhar jallad bhi taiyar ho gaya itne me door se awaj aai -tharo tharo,mai vishal hoon phasi ki saja mujhe hui thi dekhte dekhte vishal ghoda par daudta wah jhat jin se koodkar machan par chad gaya usne suresh ko gale laga diya . Dono ke ankho se ashu barasne lage.
Yah sab dekhar Raja ke ankho me ashu aa gaya -dono machan se utar aao mai aise sachche mitro ki jodi ko todna nahi chahta hoon mai chahta hoon ki toom log mujhe bhi apna mitra bana lo yah kahkar raja ne dono mitro ko chod diya.
is kahani se hame yah sandesh milta hai ki sachche mitro ki jaroorat har kisi ko hoti hai sachche dost mil jaye to logo ka jivan swarg ban jata hai sachche mitra dosti ke liye apne jaan bhi de sakte hai isliye aapbhi jisse doati kijiye uske sath apni dosti badi imandari se nibhaiye.
Published by Ashwani chaudhary
No comments:
Write comments