Dosto aaj mai apko apne is artical ke madhyam se ye bataoonga ki kis tarah se ham apne android phone se zip file ko xml file me badal sakte hai.Dosto ham blog to asani se bana lete hai aur blogging suru bhi kar dete hai blog me milne wale classic template ke sath lekin jab hamare blog par traffic nahi aata hai to ham blog ke sath di gayi anya template ko blog par apply kar ke dekhte hai phir bhi yadi blog par traffic nahi aata hai to ham kai blogger se iska reason pucchate hai tab hame pata chalta hai ki hame apne blog par accha template use karna chahiye jo internet se download ki ja sakti hai.Internet se jab ham koi template download karte hai to wah zip file me hoti hai lekin blog hamesha Xml form ki files ko hi accept karta hai.In my case mere sath bhi kuch aisa hi huya tha maine bhi bahut dhoondha khoja lekin mujhe zip file ko xml file me convert karne ka koi tarika nahi mila mobile phone se jo tarika mila we shirf computer aur laptop se zip file ko xml file me convert karn ko mila,lekin mere paas mobile phone tha mai yahi sochta tha ki kaise mai apne download template ko xml form me convert karoon tab mujhe winzip naam ke ek software ke bare me pata chala jiski madad se ham apne mobile se hi zip file ko xml file me bade asani se convert kar sakte hai.
convert Zip file to Xml file apne mobile se:-
- Sabse pahle aap winzip naam ki software ko google play store se download kar lijiye.
- ab aap is software ko apne mobile me install kar le.
- Ab aap sundar sa achcha sa template download kar lijiye dhyan dijiye ga ki yah template aapke mobile me open nahi hoga isliye aap template ko website me hi dekhkar acche se chune.template download karne ki kuch pramookh website hai.
- Btemplate
- New blogger theme
- Sora template
- Fresh desing web
- My blogger theme
- spicy tricks
- theme forest
- Gooyaabitemplate
- Ab aap mobile me download kiye gaye winzip software ko open kijiye aur sd card select kare ya phir right side me kiye gaye teen line ko click kare.
- ab aap ne jo template download kiya hai us jagah par jaakr use select kare or jis file me apne template rakha hai wah jakar zip file ko select kar
- Ab aapko xml form me dikh rahi template ke samne tick karna hai aur niche ki aur deye gaye zip,unzip,aur mail me se unzip file ko select karna hai.
- Jab aap unzip file ko select kar lenge to aapke samne sd card,my files ,dropbox jaise option aayenge aap jis file me apne template ko rakhna chahate hai us file ko open karke unzip ki button par click kare bas aapka zip file xml file me convert ho chuka hai.
to dosto aap logo ne yaha pa sikha ki kaise zip file ko xml file me change kare apne android mobile se to chaliye aap bhi achche achche template downlaod kijiye aur use convert kareke apne blog ki khoobsurti ko badaiye aur us par char chand lagaiye. Dosto i hope aako ye artical kafi madad karegi
published by Ashwani chaudhari
No comments:
Write comments