Garibi Aur nirdhanta:-Garibi baratvarsh ke ya phir kisi bhi desh ke liye badi samasya hai.Garibi manav jati ke liye ek Abhisaap bante ja rahi hai.Garibi manav jati ko din pratidin prabhawit kar rahi hai.Garibi dekha jaye to vishwa ki sabse badi samasya hai kyonki garibi hi anek prakar ke samasya ko utpann karti hai jaise berojgari,bhrastachar,atankwad,samajik vightan,samarik vightan,bhik mangna aur anek prakar ki samasya garibi ke karan dekhne ko milta hai.Garib log ko is samaj me cancer ke saman mana jata hai aamir log to garib logo ko apne aas paas tak bhatakane nahi deta hai aamir log to apne baccho ko garib log ke baccho ke sath khelne kudne se mana karte hai.Aisa nahi hai ki garibi keval isi samay ki samasya garibi to yugo yugo se hamare piccha kar raha hai hamare sath hai.Garib logo kahi par bhi koi ijjat adar samman nahi milta hai unhe hamesha hinta ki nazro se dekha jata hai.garib log se hamesha bhed bhav kiya jata hai .Garib log ko kabhi accha khana kapda nahi milta hai jiska prabhav yah hota hai ki garib log bimaar ho jata hai aur ilaaj karvane je liye unke paas koi paisa nahi hota hai jiske karan wah swarg sidhar jate hai.Nirdhanta ke karan parivan ke sadasyo me parivarik asantosh utpann ho jata hai jisse parivar ke logo me tanav ki sthithi utpann ho jati hai.Garibi ke karan parivar ka mukhiya apne parivar ke sadasyo ki jaruri avasyaktao ki nahi pura kar pata hai tab parivar ke sadasyo ka parivar ke mukhiya ke prati prem,sneh ki bhavna kam ho jati hai.Garibi vyakti ke charitra ko kafi jyada prabhavit karti hai jiske koi bhi karya karne ke liye taiyar ho jata hai wah kaam chahe accha ho ya bura .Garibi ke karan ek honhar,talented ,ladka jo padne likhne me kafi tej hota hai wah bhi garibi ka sahi se pad likh nahi pata hai.Garibi logo ko sapne ko tode rahi hai anek log garibi ke karan apne sapne ke pur nahi kar paa rahe hai.Aaj garibi ki samasya itni bad gayi hai koi bhi isske prabhav se bach nahi paya hai.Garib log ki upeksha ki jati hai unka hasi mazak udya jata hai unhe khari khoti sunaya jaata hai jisse se unke andar nirasa ki bhavna utpann ho jata hai.Garibi ke karan ek baap apni beti ka vivah lule,langde ,apradhi kisi se bhi kar deta hai.Aisa nahi hai ki garibi ke chapet me kuch hi log hai is vishwa me lagbhag 65-70./. abadi garibi se prabhavit hai.Aaiye ham yah sanklap lete hai Ham garibo ke sath koi bhed bhav nahi hone denge aur is vishwa ko garibi se mukt karenge.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Write comments