Translate

Tuesday, 23 August 2016

Dosti bhagwan dwara di gayi sundar vastu

 

Dosti:-Dosti ek khoobsurat shabd hai yah ek pyara ahsas hai.yah hamare jivan me ek mahtavpoorn bhumika nibhata hai.Dosti ke bina hamare jivan ek dam viraan jangle ki tarike se hai jaha na to koi aata hai na jata hai jaha par na koi umang hai na koi tarang hai. Ham apne juvan me anek dost banate hai kucha acche to kucha bure hote hai har aadmi ke jivan me dost hai jab ham janm lete hai to hame sare riste nate bane-banaye milte hai kintu dosti hi ek aisa  rista hai jiska chunav ham khud karte hai.Dosto ka chunav karna bhi bahut kathin hota hai yadi ham sahi dost ka chunav karte hai to hamara jivan swarg ke saman ho jata hai lekin yadi ham galat dost ka chuav karte hai to hamara jivan narak ban  jata hai.Acche dost sadaiev hamare sath rahte hai hamara sath nibhate hai chahe jaisi bhi paristhiti ho yo hame dokha nahi dete hai yo hamare sath hi khade rahte hai.Acche dost sadiev apne dosto ka khyal rakhte hai Acche dost sadaiev apne dost ko bure raste par jane se rokte hai Apne dosto ko sahi galat ka gyan karate hai.Acche dost apni dosti nibhane ke liye apni jaan ki bazi laga dete hai.isiliyhe acche dost hamare jivan ek mahtvapoorn bhoomika nibhate hai.Iske viparit yadi ham bure dosto ka chunav karte hai to hamara jivan narakh ban jata hai.Bure dost sadaiev hame dokha dete hai hame hamesha galat raste par le jate hai bure dost hmesha hame buri adate hi sikhate hai bure dost tab tak hamara sath dete hai jab tak hamre paas rupya paisa hota hai jab hamre paas rupya paisa khatm ho ja ta hai to wah kisi bhi prakar se hamara sath nahi dete hai ulte ham bure raste par le jate hai we hame juari,sharabi, Gunda,apradhi bana dete hai jiska parinaam yah hota hai ki aye din hamare ghar me ladai , jhagda , kalah hone lagta hai kuch dost to aise hote hai jo sirf matlab se aapse dosti karte hai jab unka matlab nikal jata hai to aapko wah dudh me padi ke tarah apne jivan se nikal dete hai aise dost apna matab siddh karne ke liye aap ko mardalne se bhi nahi hichkichayenge.Isliye main aapse vinti karta hoon ki apne jivan ko safal banane ke liye acche dosto ka sath kijiye kyonki acche dost ka sath karne se jivan swarg ke saman hojata hai aur bure dost ka chunav karne se jivan narak ke saman ban jata hai                                                              Dhnyabad                                  Published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments