Berojgari:---Berojari aaj hamre des me apradhik ghtanaye badane ka sabse bada karan hai aaj berojgari ki samasya din ba din ek ghambhir roop le raha hai aaj dekha jaye to berojgari hi logo khooni,aradhai,dakait,chhinait,snaccher bana raha hai aisa mai isliye kah raha hoon ki jab berojgar vyakti apne iccha kamna,sapno ko pura nahi kar pata hai tab wah apne sapno ko pura karne ke liye galat kamo ka sahara le leta hai. Berojgari ka arth:- jab ek vyakti uchit yogyata paryapt ichha aur anek prayatno ke baad bhi ajivika ki nuntam suvidhao ko prapt nahi kar pata hai tab is sthiti ko berojgari ki dasa kahte hai. Berojgari wh dasa hai jisme ek yogya aur kam karne wala vyakti jo samanyata khud ke liye apne parivar ki avasyaktao ki purti ke liye apni kamai par ashrit rahte hai.labhkari rojkar pane asamarth rahta hai. Aaj hamare des me berogari ki samasya din pratidin badti jaa rahi hai aaye din koi na koi ladki ya ladka kahi na kahi se padi kar ke degree prapt karke naukri khojne par naukri na milne par berojgar hona pad raha hai. Aaj ke samay me berojgari ke kai roop dekhne ko milte hai jaise-shikshit berojgari,asikshit berojgari,sahari berojgari,gramin berojgari,krishi berojgari aadi ye sbhi berjgari ke peamookg roop hai. sikshit beojgari:-Aaj hamare des me shikshit berojgari ki samasya bhi din pratidin badti jarahi hai aaj shikshit berojgari ke sambandh me koi pramanik anuman hamare paas uplabdh nahi hai shikshit berojgari ke smaband me aaj shram tatha rojgar mantralay tatha yogna ayog ke anumano me antavirodh hai ata inme koi tulna nahi kiya ja sakta hai.Bharat me san 1961-1991 ak in tees varsho ke dauran shikshit berojgari ki sankhya 5.90lakh se badkar 224.34 lakh ho gayi hai is baat se ye saaf spast ho jata hai kee shikshit berojgari me teji sw badotri ho rahi hai.snatak aur snakotar ki berojgari me bhi kafi teji se vriddhi huyi hai.isse to ek baat aur spast ho jata hai ki hamare des me shiksha prapt karne ki pravritti vidyaman hai.Highschool aur intermidate karne ke paschat jab ek vyakti ko naukri nahi milta hai tab use snatak aur snakotar ki padai karni padti hai.Berojgari ke karan jab ek vyakti bekar baitha rahta hai tab uski mansik jivan asantulit hone lagta hai ek vyakti jab bekar hone ke karan apne bibi bacche maa baap aur anya logo ki avasyaktao ko pura karne asamrtha rahta hai tab wah samaj ke prati hinsak ban jata hai.tatha apne uttardayity ko bhul jata hai aur apne prati udasin ho jata hai aur atmhatya kar leta hai.bekari ki halat me ek vyakti ka natik patan bhi teji se hone lagta hai wah daru sarab juaa aur galat sangat me pad jata hai Berojgari ko dur karne ke kuch pramookh upay hai:-Berojgari ko kuch pramookh upay ke dwara bahut had tak kam kiya ja sakta hai. Badti hui jansankhya ko roka jaye kutir udyogo ka vikas kiya jaye. Saghna kheti ki jaye. Vyagtigat ayogtayo ko dur kiya jaye rojgar aur shiksha me smanyav sthapit kiya jaye shiksha pranali sahi kiaya jaye ye kucha pramookh upay hai jis par kamkarke ham berojgari ki smasya ko kafi had tak door kae sakte ai published by ashwani chaudhary
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Write comments