Teachers day:-Aaj 5th septambar hai yani kihamare purv rashtrapati Dr.sarvpalli Radhakrish ji ka janmdiwas hai jisko ham teachers day ke roop me celebrate karete hai.Dr sarvpalli Radhakrishn ji bahumukhi pratibha ke dhani the inki hajir jababi ka koi tod nahi tha.Dr savrpalli Radhakrishn ji ne shiksha ke chhetra me apna aham avom mahtvapurn yogdan diya hai inhone shiksha ko ek naya makam diya hai tatha use naye mukam par le gaye hai.unka manna tha ki kisi bhi rashtra ke niman me shishak aur shiksha ka aham bhoomika hoti hai.Hum aaj shiksha ke chhetra me Radhakrishn ji dwara diye gaye yogdan ko nahi bhul sakte hai.Shikshak diwas hamare jivan me ek mahtvapoornbhoomika nibhata hai is samaj me is jahan me Ham bina adhyapak ke dwara diye gaye shiksha ke hum kisi bhi uchai pe nahi pahuch sakte hai.Adhyapak hamare jivan me hamare marg pradarshak ban ke ate hai jo hame acche bure ka gyan karate hai tatha hame is kabil banate hai ki ham uche mukam ko hasil kar sake.Shikshak ya guru hamre jivan me gyan ki roshni bikherte hai jisse ham charo aur prakash failane ko taiyar hote hai vedo aur purano me shikshak ko bhagwan ka darga diya gaya hai jo kafi had tak sahi hai.Shiksha keval aaj ke jamane me hi milti hai aisi koi baat nahi hai raja maharajao ke samay me bhi shiksha pradan ki jati thi us samay guru log apne shisyako bhinn bhinn prakar ke gyan dete the the unhe shisht achran sikhate the wah apne shisya se adhik prem karte the.Aaj ke samay ke bhi shikshak apne student se ataydhik prem karte hai unhe galat sangat use bachate hai.shikshak ke hi kandho par apne des je liye hast poost bahadur imandar takatwar ladko ya ladkiyo taiyar karne ki jimmedari hoti hai taki wah apne des ke kaam asake.Hum sab log ko apne shikshak apne adhyapak ke prati apne man adar satkar aur smman ka bhavna rakhni chahiye kyonki jo bhi ham life me bante usme jyadar hath shiksha ka hi hota hai. Published by Ashwani chaudhary
No comments:
Write comments