Bhrastachar ek samasya:-Aaj Bhrastachar hamare des ki niv ko khokla kar raha hai use hila ke kamjor karti ja rahi hai.Aaj har koi vyakti bhrast ho chuke hai aur jo vyakti bhrast nahi huye hai wo bhi samaj ke halat aur dabab ke karan bhrast hone par majboor hai.Aaj bhrastacharvki samasya keval bharat ki samasya nahi waran ye sabhi desho ki pramookh samasya bante jaraha hai Aaj ke samay me log bhrastachar me itne lipt ho chuke hai ki we logo ki majboori aur pareshani ka atyadhik fayda utha rahe hai.Aaj bhrastachar ka chhetra atyadhik bada dikhai pad raha hai jaise-Police ya sarkari adhkariyo dwara ghus lena,kam taulna ,smuggling karna ,kalabazari karna,nyadhish dwara paise lekar lekar apradhiyo ko chod dena ,chunav jitne ke liye chunav me gadbadi karna,chande ki rakam me ghotala karna,aadi ye sabhi bhrastachar ke antargat aate hai.Bhrastachar ka arth vyakti ke vyaktigat labh se sambandhit hota hai.Log apne fayde aur labh ke liye dusro ke dukh dardo ki nahi samajhta hai.Aaj log bhrastachar ke daldal me itne andar tak dubte chale ja rahe hai ki jisme se unhe nikalna kafi muskil ho gaya hai.Aaj ke samay me logo ko rupaye ke bal par pahchana jata hai wah rupaya chahe jaise bhi tarike se yani galat ya safi kisi bhi tarike se kmaya gaya ho.Aaj ke jamane me imandaar aur kartvyAnistha vyakti ka mazak udaya jata hai kyonki wah apne labh ke pad pe hote hue bhi we arthik labh nahi utha the hai.Aisi sthiti me charitrik aur naitik patan ke roop me bhrastachar ko badava diya jata hai.Bhrastachar ko asiksha bhi badava deti hai kyonki jo officer badi pad par rahte we apni arthik labh pane ke liye kam pade likhe logo se ghus lete hai kyonki aise logo ko kisi bhi cheejo ko sahi jankari rahti hai is prakar ashiksha bhrastachar ki badava deti hai.aaj garibi logo ko bure kam karne aur bhrast banne par majboor karti hai.Aaj ke samay me koi imandar nahi rah gaya hai aur jo log imandari ke raste par chal rahe hai unhe bhi bhrastchar ke raste par chalne par majboor kiya ja rahe hai.Aaj ke samay me bhrast log lakho caroro ka ghotala kar ke lakho caroro rupaye ko apne des se bahar bhej rahe hai aise bhrast vyaktiyo ko kadi se kadi saja deni chahiye aaj hamare des me itni garibi hai bhookhmari wah par aise bhrast vyakti aam janta ke hisse ke bhi paise ko gaban kar rahe hai jisse aam janta ko pareshani jhelna pad raha hai kyonki wah paisa aam janta ki bhalai me lagaya jane wali hai.आज हमे अपनी देस से भ्रस्ताचर को मितकड़ अपने देस को सोने की चिदिया फिर से बनाना है जिसमे कोई व्यक्ति भ्रस्ट न हो . Powerd by Ashwani chaudhary
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Write comments