Translate

Friday, 2 September 2016

Mehangai ek samasya.

 

Mehangai:-AAJ ham is article me ham mahangai par baat karenge ki kis tarah mahangai hame pravhavit kar rahi hai.Aaj ke samay me mehangai ki samasya kafi jyada bad gayi hai aaj aaj mahangai se sabhi log kisi na kisi prakar se prabhavit hai aaj koi aisa vyakti nahi hai jo mehangai se prabhavit na ho.Akhir me mehangai badne ke kya karana hai jisse mehangai din pratidin bad rahi hai jisse ki aam aadmi apne jaroorat ki saman jaise roti,kapda ,makan kharidne me asamarth ho gaya hai.Mujhe to lagta hai ki hamare des me mahangai badne ke bahut sare karan hai jisme kalabajari,ghotala,jamakhori,sukha padna ,upaj me kami,Dospurn pranali ye sab mukhya hai.Aaj hamare samajko mehangai necharo taraf se gher liya hai.Aaj hamvmahangai ke changul me is tarah phas gaye hai jisme se nikalne meham asamarth se dikh rahe hai.Pahle ye kaha jata tha ki garibi me garibi me bhi log dal roti kha sakte hai garibo ka sathi hai daal roti kintu aaj daal aur roti done ke daam itne teji se bad rahe hai ki garibo ke liye ye kahawat bhi jhuti sabit ho rahi hai.Aaj mehangai is yug me kafi gambhir smasya ka roop le chuka hai.Mehangai me mukhya roop se middle class ke aur garib log piste hai jo roj kuan khod kar pani pite hai aise sthiti me mehangai ne middle class aur garib logo ka kamar tud rahi hai.Aaj ke samay me khane pine pahnne odne ki chijo me itni teji se badotri ho rahi hai ki aaj logo ko apne man ko mar kar jina par raha hai.Aaj log mehangai ke karan nato dhang se kha paa rahe hai na hi ache kapde aur vastra paan pa rahe hai aaj mehangai ne hamse khul ke azadi sezindagi jine ka haq chhin liya hai.Aaj log mehangai ke daldal me din pratidin dhaste chale jaa rahe hai.Aaz aam logo ki zindagi me mehangai ke karan na koi umang rah gaya hai na koi tarang raha gaya hai mehangai ke karan aaj logo ki zindagi kati patang ke saman ho gaya hai.Aaj mehangai ke karan ek vyakti na khud acche se ji paraha hai aur na apne parivar walo ko kisi prakar ka sukh de pa raha hai.Aaj ham mehangai ke gulam ban gaye hai.aaj mehangai apna chabuk chalati hai aur hum mehangai ke daldal me aur faste chale jate hai.Aaj amdani athanni aur kharcha ek rupya ho gaya hai.                                                                          Published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments