Translate

Thursday 3 November 2016

Ek nanhi pari ki pukar

 

Aaj mai apne is artical me un nanhi pari yani ki un  ladkiyo ki jisko ki pet me hi mar diya jata hai uske bare me bataoonga aaj main apne artical me ek ladki jisko pet me hi mar diya jata hai uska dard apne artical ke madhyam se vyakt karoonga tatha ye bhi dikhaonga ki jab ladki ko uske hi mata pita pet me marte hai ladki kya prasann apne maa baap se man hi man me puchati hai.to der na karte huye chalte hai aur dekhte hai kis prakar ek ladki jisko pet me hi mar diya jata hai wah apna dukh vyakt karti hai.
                       

                                                                     mera kya kasoor:-
    Maa mujhe bachao ye dawa mujhe aapke sharir se is tarah fisla degi,jaise gile hatho se  sabun ki tikiya bhagwan ke liye aisa matkarna mai yah prasann aapse isliye puch rahi hoon kyonki maine ek sansanikhej khabar suni hai,jise sunkar mai sir se lekar pawn tak kaap uthi.Maa maine suna hai ki mujh masoom ko janm lene se pahle hi kokh me hi mar dalne ki sajis rachi ja rahi hai.yah sun mujhe yakin hi nahi hua,bhala meri pyari pyari komal harday maa aisa kaise kar sakti hai? kokh me pal rahi apne lado ke sukumar sharir par nastaron ka waar ek maa kaise kar sakti hai! Bas ek baar aap yah kah dijiye ki maine jo prasann apse pucha we galat hai. mere to hath hi itne sukomal hai ki doctor ke clinic jate wakt aapka anchaal jor se nahi pakad sakti ki aapko rok loon.Meri baahn bhi itni majboot nahi hai ki mai apke gale se lipat sakoon.Maa mujhe maArne ke liye aap jo dawa lena chahti hai  wah mere nanhe sahrir ko bahut kast degi,mujhe bahut dard hoga.Aap to dekh bhi nahi payengi ki wah dawa aapke pet ke andar mujhe kitni berahmi se maar dalegi.Doctor ki hataudi kitni kroorta se meri komal khopadi ke tukde tukde kar dalegi unki kainchi meri najook                       hath pair ko kaat dalegi.                                    
 
             
Maa abhi to meri awaaj bhi nahi nikalti hai mai kahoon bhi to kisse aur kaise? mujhe janm lene ki bahut lalak hai maa,abhi to aapke agan me mujhe nanhe nanhe pairo se cham cham nachna hai apki mamta bhari god me khelna hai chinta mat karo maa,mai aap par bojh nahi banoongi,mat lakar dena mujhe payal,mai didi ki chhoti pad chuki payal pahan loongi,bhaiya ke chhote pade kapdo se apna tan dhak loongi.Maa bas ek baar mujhe is kokh se likalkar chand taro se bhare  aasman tale jine ka mauka to dijiye mere hatho par bhi mehandi,shagun bhari doli niklegi aur mai aapke aagan se chidiya bankar ood jayongi,mai aapka pyar chahati hoon mujhe mat mariye,apni bagal ki dali par phool bankar khilne diiye.Maa aur kya kahoon Maa? Akhir toom meri maa ho mujhe apne paas aane do maa.          
   
Is prakar ham is poem ke madhyam se yah dekh sakte hai ki kis prakar ek ladki jisko ki bojh samjh ke bahut se log pet me hi mar dete hai apna dukh vyakt kar rahi hai tatha logo ko ye bhi batane ki kosis kar rahi hai ki ham bojh nahi hai balki ghar ki raunak hai akhir kyon kuch log ladki ke janm lene se pahle ya baad me use mar dalte hai kya,kya wah log ladkiyo ko bojh samajhte hai aaj ke samay me ladka ladki ek saman hai shayd kuch log yah bhool jate hai ki we bhi ek aurat se hi aaye hai.Mera aap log se savinay nivedan hai ki ladkiyo ko pet me hatya naa kare unhe bhi ladko ki tarah pale poshe ladkiyo ko bhi is sansar me khool ke jine ka adhikar de unka adhikar unse na chhine ladki aur ladka to iswar ki den hai isliye aap ladki ke  janm par nirash Naa ho aur unhe bhagwan ka prasad samajh kar ke grahan kare.

Published by Ashwani chaudhary




No comments:
Write comments