Aaj mai apne blog ke kavita ke jariye ye bataoonga ki bord pariksha ke dauran student ki kya halat hoti hai mai is cheej ko apne kavita ke madhyam se vyakt karne jaa raha hoon aur jo ladke bord exam se darte hai unki halat vyakt kiya ja raha hai.
Bord ki pariksha
Ferbaury ka mahina tha Mathe par pasina tha
Time tabal dekhar
Muskil mera jina tha
Bord exam karib tha
Foota mera nasib tha
Neend chain sab ood gaya tha
Haal mera ajib tha
Jab sona chahta tha
Tab neend nahi aati thi
Par kitab kholte hi
Ankh lag jati thi
Taiyari meri dekhar
Teacher mere nirash the
Sabne ummid chhod di thi
Jo bhi mere khas the
Maine socha kyon naa
Ab mai kuch unki bhi manoo
Jo saal me bhi nahi kiya
Ve ab karne ki thanoon
Raat abhi baki thi
Kuch padne ko socha
Kitaab jaise hi khola
phir suroo hua locha
Neend ne mujhe apni
Agosh me le liya
Kal se mai jaroor padoonga
Ye sochkar mai so liya
Yehi sochkar mai so liya
Published by ashwani chaudhary
No comments:
Write comments