Translate

Saturday 26 November 2016

Jab ek note marta hai

 

Dosto aaj mai apne is artical me baat karoonga ek note ki jab ek note marta hai to kis prakar se wah hame dikkato me dalti hai tatha ek note kis prakar apne naa rahne ki upasthiti ko yaad karata hai.Aaj mai apne is post ke madhyam se ek note ke dard ko apne kavita ke madhyam se aap logo ke samne rakhne ja raha hoon.

Jab ek note marta hai:-

jab ek note marta hai 
Tab anek prakar ki dikkate hoti hai
Bachcho ke piggi bank toot te hai
Tab ghar chalta hai 
Jab ek note marta hai
Desh kataro me dikhta hai
Kahi par siyasat to 
Kahi par riyast hota hai
Jab ek note marta hai

Jab ek note marta hai 
Banko me lambi line hoti hai
Atm ke samne hatha pai hota hai
Kahi par virodh hota hai
To kahi par bawal hota hai
Kahi par dookh hota hai
to kahi par khusi hoti hai
Kahi par lathi charge hota hai 
to Kahi par sudhar hota hai 
Jab ek note marta hai.

Jab ek note marta hai
To kahi par khusi to 
Kahi par vishad hota hai
Kahi par rai hoti hai to 
Kahi par gussa hota hai
Kahi par Nooksan hota hai
to Kahi par fayda hota hai
Kahi par dharna to
Kahi par marna hota hai
 Jab ek note marta hai

Jab ek note marta hai
Shadia tooti hai
Maa baap lachar hote hai
Kishan majboor to 
Naujawan pareshan  hota hai
Desh ki arthik arthvyavastha dagmagati hai
To desh me arthik mandi si chhati hai
Grihani roti hai
To aam admi pareshan hote hai
Jab ek note marta hai.

jab ek note marta hai
Girlfriend boyfriend me                                takrar hota hai
Mobile me balance                                  recharge nahi hota hai
Bachcho ki hasiya khusiya
Sab goom ho jati hai
Facebook whattsup par 
Chatting ka bahiskar ho jata hai
Garibo ke sukh
Dukh me badal jate hai
Amiro ka bura haal hota hai
Kaledhan par ek accha prahar hota hai
Jab ek note ka dah sanskar(marta) hai.

jabe ek note marta hai
Tab kahi par asha to
Kahi par nirasa hota hai
Kahi par kai log dare huye
To kafi par log nidar rahte hai
Kahi par janta ki sahmati hoti hai
To kahi par galiyo ka bauchar hota hai
jab ek note marta hai
                                  ( Ashwani)

is prakar ham dekg sakte hai ki jab ek note mar jata hai arthat jab band ho jata hai to kuch din hame kis prakar hame paresan hona padta hai. I hope aapko ye kavita kafi pasand aayi hogi jisko ki aap annad lekar padeng aur apne dosto ko bhi anand lene ke liye share karenge.

Published by Ashwani chaudhary




No comments:
Write comments