Dosto jab se modi ji ne purane noto ko band karne ka faisla liya hai uske baad se hi log apne purane not ko apne banko me jama karne ke liye aur badalwane ke liye jaa rahe hai.Modi ji ke is faisle ke dwara aaj Rbi ke paas 2300 crore rupaye ke purane not ekatha ho chuke hai jisme se 1500crore rupaye 500 ke purane not hai aur 700 crore rupaye 1000 ke purane note hai.Bharat chin ke baad dusra sabse jyada paiso ka khapat aur utpadan karne wal Desh hai.jab se modi ji ne is faisle ki ghosna kiya tab se sarkar ke paas 84% purane note pahuch chuke hai.
Itne bhari matra me sarkar ke paas purane not aa chuke hai ki yadi in noto ko line by line ek ke uppar ek karke lagaya jaye to yah purane note himalya se bhi uche ho jayenge ye to baat hui keval unki uchai ki aur agar duri ki baat ki jaye to ye note chand ke chaar chakar laga ke aa sakte hai.yeh to baat hui un noto ki jo ki abhi sarkar ke paas pahuch chuke hai sochiye yadi we note jisko ki logo ne pani me baha diya hai,aag me jala diya hai,machino se katva diya hai agar ye not bhi sarkar ke pass pahuch jate tab iski uchai aur lambai in akado se jo ki maine uppar di hai usse kahi adhik ho jaati.
Hamare desh me noto ka safar 80 saal purana hai. Sabse pahle san 1938 me pahli baar 5 rupaye ki paper currency ko lanch kiya gaya tha iske baad isi saal desh ki sabse badi paper currency 10000 ka not chhapa gya jisko ki san 1978 me puri tarah band kar diya gaya tha.Iske baad san 1987 me 500 aur 2000 me 1000 ke not ka prachlan astitva me aya.in bade noto ke aane se pahle san 10,20,50,100, ke not astitva me aa chuke the.
San 1938 me 1Rs = 13$ us dollar tha lekin jaise jaise bharat par karja chadta gaya waise waise rupaye kivalu kam hoti chali gayi aur azadi ke baad smt indira gandhi ji ne desh ka karja utarne ke liye 1Rs=1$ dollar kar.dia jo aaj tak aise hi chalta aa raha hai.lekin aaj bhi kai desh aise aise hai jaha par rupya bada hai jaise srilanka,nepal,vitenaam aur bhi kai desh hai jaha par rupaya bada hai.ye to baat ho gayi purane noto ki ikatha hone ki aur unke itihaas ke bare me aab baat ye aata hai ki sarkar ikatha kiye gaye crore rupaye ki purane noto ka kya karega?to aaiye chalte hai aur jante hai.
Sarkar dwara noto ka kya kiya jayega:-
Aapko ye jankar hairani hogi ye crore rupaye purane 500-1000 ke note kagaj ke tukde ke saman ho gaye hai aur in noto ne raddi kagaj ki upadhi le li hai.Kai desho me bhi aisi sthiti aati hai waha par noto ko jalA diya jata hai nasta kar diya jata hai.
Apne bharat me bhi kuch isi prakar sade gale purane noto ko destroyed kiya jata hai san 1978 se pahle in sade gale phate purane noto ko jala diya jata tha lekin san 1978 ke baad paryavaran ko dhyan me rakhte bharat sarkar ne noto ko naa jalane ka faisla liya gaya.
san 1978 me noto ko jalane ka rule samapt hua uske jagah par machine se in noto ko katwa diya jata hai jisse ki sade gale,phate-purane note chhote chhote tukdo me ho jate hai phir in noto ko gatte me jama kiya jata hai aur alag alag sahro me zameen ke niche daba diya jatah hai ek is tarah se noto ko nasta kiya jata hai.
Dusra prakar yah hai ki purane,sade gale noto ki recyclig karke unko pryog me lane wali chije bana di jati hai jaise peperwight,pen box,tray,calander aur bhi anya chijo me tabdil kar diya jata hai jisko ki ham apne rojmarr ke jivan me prayog me late hai.
Ye chhoti si jankari maine is liye aap logo ke sath share ki hai kyonki bahit se aise log honge jo is asmanjas me pade honge ki ab in purane noto ka kya hoga aise logo ke asmanjas ko door karne ke liye maine ye post likha hai.
No comments:
Write comments