Aaj mai jo kavita aapke samne pesh karne wala hoon wah us samay ki hai jab ek ladki ki shadi hone k paschat jab wah apne sasural jati hai yani ki vidai ke samay ek ladki ki kya dasha hoti hai uske bare me mai aapko batane jaa raha hoon is kavita ke madhyam se.
Vidai Beti ki
Fool sabhi ghar ki foolwari se
Koi jyon bani chala
Maa ko log god se koi
Mano sab kuch chhin chala
Jaise yado ka akshar
Wah acch bindu se dhoti thi
Katar bachhiya si wah beti
Lipat pita se roti thi
Aad pade ankho me ashu
Badhawas sa daud pada
Pita nahi rah saka khada
Aisi bhi kya nisthoorta hai
Koi aata pass nahi
Nahi rokte chahch,tau
Bhaiya se bhi aas nahi
Aakar ke papa kyon inko
Aap nahi dhamkate hai
Dekho antim baar dehri
Log mujhe pujwate hai
Ab mere rone ka papa
Tumko bilkool dhyan nahi
Kya is angan ke kone me
Mera kuch sthan nahi
Mere rone ko pal bhar bhi
Bilkul nahi saha tumne
Apne agan ki phoolwari
Mujhko sada kaha tumne
Pucch rahi thi papa tumne
Kya sachmuche chhod diya
Beti ke us kataar swar ne
Babul ko jhakjhor dia
Hasi khusi sab kaam hua tha
Sari rasm adai ka
Kanyadan hua jab poora
Aaya samay vidai ka
Agar apko achha laga ye poem to jaroor se jaroor comment kijiye aue share kijiye
Published by Ashwani chudhary
No comments:
Write comments