Translate

Friday 2 December 2016

blog ka template badle ya change kare

 

Dosto jab ham blog ya website banate hai to badi ummid se banate hai ki hamara blog bhi famous hoga hamare blog par bhi jyada se jyada visitor,follwer honge jisse hame name,fame milega tatha ham bhi onlie paisa kamayenge aur khud ke pairo pe khade honge aur apne mata-pita par bojh nahi banenge lekin hamara yah sapna tab toot jata hai jab hamare dwara banaye gaye blog ya website par traffic nahi ata hai simpal sabdo me kaha jai to jab hamare blog ya website par public nahi aata hai us samay ham kafi pareshan aur nisrash ho jate hai aur apne blog par tarah tarah ke experiment karne lagte hai,lekin hamara dhyan us chhoti si changing par nahi jata hai jisko ki ham sahi karke kafi visitors ko apne par laa sakte hai wah chhoti si changing jiski mai baat kar raha hoon wah template ki changing hai ji haan template ki changing.                                                                                  

                                              Template kisi bhi website ya blog ko achcha aur sundar dikhane me kafi madad pahuchate hai jitna achcha aapke blog ka template hoga utna hi achcha aapke blog par trrafic aayega kyonki website ya blog ko sundar banane me template ki ek aham aur mahtvapoorn bhoomika hoti hai.lekin naye blogger ko template download karke apne blog par lagane me kafi dikkat aur pareshani aati hai kyonki we log blogging ke chhetra me adhik jankari nahi hoti hai isiliye mai ye post naye blogger ke lite likh raha hoon.

Blog ya website ke liye template kaise hone chahiye:-

Dosto blog ya website ke liye template download karne se pahle kuchh bato ka dhyan rakhna chahiye.Template download karte samay in bato ka dhyan rakhna chahiye ki aap jo bhi template  apne blog ya website ke liye download  kare we mobile friendly,seo frendly aur fast downloading wale hone chahiye aise template download karne ke liye mai aapko kuch website ke naam de raha hoon jis par jakar ke aap asani se mobile frendlt,seo frendly aur fast downloding wale template download kar sakte hai.
Btemplate.
Soratemplate
Themeforest 
Spicytricks
New blogger theme 
Fresh desing web
Dosto agar apko template me ye teen quality chahiye to aap in wevsite par jakar ke template download kar sakte hai.Agar aap ke template ye teeno quality nahi hogi to apka website kafi dhire khoolega aur jo visitor aapke blog par aayenge we aapke websit ko kharab soch kar kisi aur par chale jayenge aur kavhi apke blog par doobara nahi aayenge kyonki jyadatar visitor fast khoolne wale site ko pasand karte hai.

Apne blog ka template badle :-

  • Sabse pahle aap apne blog account ko open kijiye.                                       
  • Aur uske baad blogger ke dasharbord me jaiye.                                                                              
  • Ab aap template ki option par jaye aur click kare.                                                                                                             
  • Ab template option open hone ke baad apko backup and restore ko click karna hai.                                        
  • Ab backup and restore ke option par click karna hai click karne ke baad jab wah open ho jayega to aapko downlod full template par click karna hai.                                                                            
  • Itna ho jane ke baad apko choose file ka option dikhega waha par apko apna download kiya hua downlad ko select karna hai.                                                                                                               
  • Ab apko aplod ke option par click karna hai bus kuch der baad apka template blog par download ho jayega aur template applied successfully ka message dikhega bas apka template apke blog par appli ho gaya hai              
  • aap apna blog khol ke dekh sakte hai.

Note:- Aap jab bhi koi template download karenge to wah zip file me hogi lekin blog keval xml form ke template ko hi svikar karta hai lekin aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai bas aap yaha par ye post pad ke Badle zip file ko xml file me android mobile se asani se apne template ko xml form me badal sakenge.
i hope aapko ye chhoti si post kafi pasand aya hoga

published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments