Translate

Saturday 3 December 2016

Kalam aapko ham sab ka salam

 

                  Kalam too kamal hai:- 
Dosto aaj mai apne artical ke jariye jis mahan vyakti ke bare me likhne jaa raha hoon wah kahi na kahi hamare liye ek prenasrot hai jo hame ye sikhate hai ki jivan me kabhi har nahi manni chahiye aur nirtar aagey badna ka prayas karna  chahiye.

KDosto aaj hamare motivation stories ke hero hamare desh ke purv rashtrapati sri A.P.J ABDUL KALAM JI HAI jinke jivan ki stories hamesha hame prerna deti hai aagey badne ki aur yah ehsas karati hai ki hard work is key of success.

Itihas me kam hi aise mahapurus hote hai jinhe log,jati,dharm,Sampraday,chhetra aur warg ki seemao se pare uthkar pyar aur samman dete hai dr kalam un mahapuruso me se ek the.kya hindu aur kya musalman,kya sikh kya isai,kalam ke jane se har ek ki ankhe bhar aai.birle hi hindustan be kabhi aisa nazara dekha hoga ki ek insaan ki sakshiyat ke aagey sare dharm sare majhab gaud ho jaye,rah jaye to sirf aur sirf insaniyat.

Bahut muskil hai koi yu watan ki jaan ho jaye,tumhe faila diya jaye to hindustan ho jaye.

Misile man ke roop me vikhyat purv rashtrapati Dr.A.P.J abdul kalam chahte the ki duniya unhe vaigyanik ya rshtrapati ke roop me nahi balki ek shikshak ke roop me yaad rakhkhe.Dr KALAM ka manna tha ki shiksha me samaj ko parivartit karne ki chhamta hoti hai aur shikshak desh ke bhavisya ko aakar dene me ek mahatvapoorn bhoomika nibhate hai.Dr.KAlAM ko jab bhi apni vyast zindagi se wakt milta tha to ve bachcho ke beech me hote the,kabhi kisi school me to kabhi kisi collage me.2002 me rashtrapati banne ke baad unhone shishad ke prati apni roochi me koi samjhauta nahi kiya.Rashtrapati ke apne karakal ke dauran hi nahi,balki sevanivitt hone ke baad bhi vidyarthio se unka sanwad nirantar bana raha.

05 septambar 2013 ko shikshak diwas ke awsar par ek sakshatkar me purv rashtrapati ne kaha-log agar mujhe ek shikshak ke roop me yaad rakhhenge to mere liye sabse bada samman hoga.Aur jaisa wah chahte the mano vidhata bhi unki is baat ke aagey natmastak hokar  unko usi apne paas usi andaaz me,unke sabse behtarin kam ko karne ka awsar dete huye  apne paas waapas bula liya.Apni zindagi ke akhiri lamho me wah IMM shilong me chhatro ko lecture de rahe the.27 july 2015 ko kalam sahab ke akasmik nidhan ne sare vishwa ko hatprabh kar diya.
                  KALAM we shaksha the jinke jivan ka har pal ek kahani hai jinke jivan ke har pal me prerna chupi hui hai.unki sadgi unka vyavhar aur unka desh ke prati samarpan atulniye ha.unke prati vinarm shradhanjali prakat karte huye unke prenaprad vichar apke sath baat raha hoon.is mahan shikshak aur vicharak ke ye kathan hamare jivan me sakaratmak badlav laa sakte hai-
sapne ve nahi jo ham sote huye dekhte hai,sapne we hai jo hame sone nahi dete.

DR.A.P.J abdul kalam ka sapna bharat ko antriksha vigyan ke chhetra me duniya ka sirmaur rashtra bante dekhne ka tha.inhone ne mukhya roop se vaigyanik aur vigyan ke vyavasthapak ke roop me chaar dasko tak raksha anusandhan ewom vikas sangathan(DRDO) aur bhartiye antriksha anusandhan sangthan(isro) sambhala wa bharat ke nagrik antriksh karyakram aur sainya misail ke vikas ke prayaso me bhi shamil rahe.unka sara jivan lagan aur kadi mehnat ki mishal hai.Kalam ka jivan bada sangharshpurn raha.Abdul kalam ke pita apni naav machuaro ko dekar ghar ka gujara chalate the parinamswarup balak abdul kalam ko apni prarambhik shiksha puri karne ke liye gharo me akhbar vitran karne ka karya karna pada.we pratidin subah char baje uthkar gadit ka tusion padne jaya karte the.wahan se 5 baje lautne ke baad we apne pita ke sath namaj padte,phir ghar se teen kilomiter door sthith dhanushkodi railway station se akhbar late aur paidal ghoom ghoom kar bechte.8 baje se we akhbar bechkar ghar laut aate uske baad we taiyar hokar school chale jate school se lautne ke baad sham ko we paiso ki wasuli ke liye nikal jate.                                  

prashnn puchchna ek achche chhatra ki nisani hai isiliye unhe prashann karne do.
Ek school chhatra ne Dr.Kalam se kaha-sir mai vishwa me sarvshresta vaigyanik kaise ban sakti hoon? Ek chhoti si muskan ke baad unhone kaha-aane kya kiya?maine sawal puchcha usne kaha.tab toom to ek vaigyanik ho,unhone kaha. Prashn puchchte raho sabhi sawalo ka jabab pata karo aur tum sabse achche vaigayanik banne ke apne sapne ko pura karne me awasya safal ho jayoge.

Jivan ka amulya samay vastavik khusiya hasil karne me lagana chahiye na ki dikhawati bhog vilas ki vastuye prapt karne me.
DR. Kalam mahan tyag aur sadgi ka paryay hai.unhone apne jivan me kabhi naam aur paise ko tarjeeh nahi di unhone sahi mayno me desh ki tarakki ke liye apne sukho aur hito ki kurbani di.Dr kalam ne kabhi apne ya apne parivar ke liye kuch bhi bachakar ke nahi rakhha.Rashtrapati pad par rahte huye bhi unhone apni sari jamapunji aur milne wali tankhva ek trast ke naam par kardi.Providing urban aminities to rural pariyojna(P.U.R.A),naam ka ye trast desh ke gramin ilako me behtari ke liye kam se juta hai.Amool ke sansthapak Dr vagrij kuriyan ne ek baar dr kalam se pucha to unka jabab thaki-chuki desh ka rashtrapati ban gaya hoon isiliye jab tak jinda rahoonga sarkar mera dhyan aagey bhi rakhegi to mujhe tankhva aur jamapunji bachane ki kya jarorat hai achcha hai ki ye bhalai me aa jaye .Tamilndu ke rameshwram me jab DR.Kalam ko supurd e khak kar antim vidai gayi tab unke parijano ne pichche mudkar dekha to kalam sahab ke naam par mahaj do sutkesh mile kalam sahab ke paas sampatti ke naam par keval yahi tha.
Hame tyag karna padega ki hamari ane wali pidi samridh ho.

DR.KALAM 15 octobar 1931 ko dhanuskodi gaon( Rameshwaram tamilnadu) me ek madhyamvargiye muslim parivar me janm lene wale dr kalam ne apne jivan me jo uplabdhiya hasil ki wah vastav me achambhit kar dene wali hai.18 july 2002 ko dactor kalam bharat ke 11we Rashtrapati nirvachit huye the.1997 me kalam sahab ko barat ka sarvochh nagrik samman bharat ratna pradan kiya gaya.iske alawa unhe 1981 me padam bhusan aur 1990 me padam vibhusan ki upadhi pradn ki gayi.
          Keval desh me hi nahi balki pure vishwame unhone apni alag pahchan banai iska andaza isi baat se lagaya ja sakta hai ki dr kalam ke 79 ve janmdin par sanyukt rashtra dwara vishwa vidyarthi diwas ke roop me manaya gaya.varsh 2005 me switzerland ki sarkar ne dr kalam ke switzerland agman ke uplakshya me 26  may ko vigyan diwas ghosit kiya.
Agar aap prasidhhi ke sath janm lete hai to yah ek ghatna hai lekin agar aap prasidhhi ke sath marte hai to yah ek uplabdhi hai.
Dr kalam ne is prernadayak udharan ko apne asal jivan me charitarth kar dikhaya tha.


is tarah ham dekh sakte hai ki abdul kalam ji ke jivan me itna jyada dikkat aur samasy hote huye bhi unhone apni lagan mehnat aur dhrid nischay se Rashtrapati ke pad ko sushobit kiya apni kathin parisham se hi kalam ji apne jivan me aagey bade aur ham sab ke liye ek prernasrot bane.

published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments