Ek riksawala
Aaj mai apne is artical ke madhyam se baat karoonga ek riksawale ke jivav ke bare me jo din bhar kadi mehnat majdoori karne ke baad apna do wakt ka roti kamata hai aaj mai usi riksewale ki marmik dasha ka chitran apne is artical me karoonga to dosto chaliye jante hai ek riksewale ka dard.
Ek riksawala :-
Ek riksa chalane wale ki zindagi middle class ke logo se bilkul alag hoti hai jaha par ek ek middle class ka vyakti din 7-8 ghanta kaam karte hai wahi par ek riksa chalane wala vyakti 13-14 ghante kaam karta hai.Ek rlriksa chalane wala vyakti subah se hi bhuke pyase ek cup chai ke sahare 2 wakt ki roti kamane ke liye nikal padta hai ki kam se kam use do wakt ki kharide ke liye tatha apna aur apne parivar ka pet palne ke liye paryapt rashi kama sake.Ek riksa chalane wala vyakti din bhar kade mehnat aur parishram karne ke baad do wakt ki roti kama pata hai jab ek riksa chalane wala vyakti riksa lekar subah subah nikalta hai to use yah maloom nahi hota hai ki aaj use koi grahak milega ya nahi thand ho, barsat ho,jada ho, dhup ho ek riksa chalane wala har samay apne kaam par laga rahta hai,wah ek din ki chhuti par bhi nahi rahta hai kyonki wah janta hai ki use har din kunwa khod kar pani pina hai yani ki yadi we ek din ka bhi chhuti par raha to we kya khayega aur apne bibi-bachcho ko kya khilayega.Ek riksachalane wale zindagi kathin parishram aur sangharsh ka naam hai.kabhi kabhi ek riksewale ki dasa atyant marmik aur daniye dekhno ko milti hai kyonki unke paas ek jodi kapda aur khane ke liye paryapt dhan nahi hota hai,Riksa chalane wala ka yah chitran hamare abkho me ashu le aata hai,Hame ek riksa chalane wale ke prati daya ka bhav rakhna chahiye.Ek riksa chalane wala vyakti din bhar isi pryas me laga rahta hai ki koi sawari aakar ke unke rikse pe baithe jisse ki wah do wakt ki roti ka intezam kar sake,jab ek riksachalane wala vyakti subah subah nikalta hai to uske dimag aur man me lakho prashann uthte hai ki kya use koi grahak milega ya nahi? kya wah do wakt ki roti kamane me aaj safal ho payega ya nahi? uska din kaisa bitega? Aise anek sawal uske dil aur dimag me chalte rahte hai.Kabhi kabhi aisa hota hai ki ek riksa chalane wala vyakti din bhar idhar udhar apna riksa lekar bhatkta rahta lekin use koi sawari nahi milta hai tab jisse uske paas kuch bhi rupya nahi ho pata hai jisse ki we apna pet bhar sake aisi dasa me ek riksa wale ko bhuke pet raat bitani padti hai.Ek riksawala kis prakar apne bibi bachcho ki avasyaktao ko pura karta hai ye ham aur aap kabhi nahi jan sakte hai ye to sirf uppar wala ya phir we ruksawala hi janata hai.Ham aur aap to keval kuch hi der kaam karne ke baad hi thak jate hai sochiye ek riksawala din bhar apna riksa idhar udhar bhajta hai to sochiye we kitna thak jata hai ham aap to jab thak jate hai to kisi na kisi se apni sewa karwa lete hai arthath apna sir pair dabwa lete hai pura badan dabwa lete hai lekin ek riksa chalane wala vyakti aisa bhi nahi karva sakta hai kyonki we apne parivar ko chod kar bahut door kamane khne ke liye aata hai.Ham log ne bahut baar aisa dekha hoga ki yadi ek riksa chalane wala wala vyakti kisi gadi wale se achank apna riksa leke lad jata hai tab gadi wala us ladke ko khub gali galauch deta hai aur usse harjane ka paisa bhi mangta hai bechara riksa wala sidha sadha hone karan paisa bhi de deta hai,lekin jab iske wiprit koi gadi wala riksa chalane wala ko thokta hai to tatha jab rikse wale ka kuch nooksan hota hai to gadi wala riksewale ko garib,besahara,lachar,samajh kar use harjane me kuch bhi nahi deta hai aur apna rob jamate huye chal jata hai,aisi sthiti me ek riksawala ki kya dasha hoti hai wah ek riksawala hi janta hai bechara,riksawala,dono taraf se pisha jata hai,kuch kuch log to aise hote hai jo khud ki galti hone par bhi riksewale se hi hatha pai kar lete hai yah sochkar ki ek garib,besahara,lachar riksa chalane wala vyakti kya kar payega.Ham log apne gharo me bane khana ko khane me bhi nakhda karte hai lekin ek riksawala kharb chijo ko bhi achcha samajh kar khata hai.Ek riksa chalane wale vyakti ki bhi dili ichcha hoti hai ki wah apne bhi apne bachcho ko pada likha sake unhe bhi bada aadmi bana sake lekin paristhiti aur halat ek riksawale ke aise nahi hote hai ki wah apne bachcho ko pada likha sake unhe uchch shiksha pradan lar sake.Ek riksa chalane wala vyakti itna mehnat,majdoori karta hai phir bhi kuch kya bahut se log aise hote hai jo riksewale ko unki mangi gayi rakam nahi dete hai shayad aise logo ko un riksawala ke dookh dard ki sththi ka pata nahi hota hai isiliye maine ye post likha hai ki aap log bhi ek riksewale ki sthiti ko jab sake aur unke prati daya aur sadbhavana ka bhav rakh sake tatha unke dwara mange gaye rakam unko poora de jisse ki we bhi apne bachcho ko uchi talim aur achchi parvarish de sake.
Published by Ashwani chudhary