Gharelu hinsa Ek Apradh:-Aaj stri ke prati keval apradhik hinsa hi nahi bad rahi hai Apitu gharelu hinsa me bhi din pratidin vridhhi ho rahi hai.Aaye din gharelu hinsaa ke karan paper,television,radio,par stri pe hone wale atyacharo ka varnan kiya jata hai.Gharelu hinsa ka matlab hota hai ghar me stri par hone wala sharirik aur manshik utpidan hota hai.EK stri viah ke samay yah sunhare swapn dekhti wah shadi vivah kar ke apna jivan sukh shanti se bitayegi kintu uska ya swapn tab toot jata hai jab ek stri apne upar utpidan hote huye dekhti hai.wah apne aap ko ek viran andheri gufa me apne aap ko akeli akela pati hai jaha par uski chikh pukar sunne wala koi nahi rahta hai.Ek stri ki apne dukh dard ko kisi se bhi nahi kahti hai kyonki use apne uppar hone wala utpidan ke bare me kisi se kahne me bhi sharm lagta hai yadi kisi tarah wah apna dukh dard kisi se kahti bhi hai to unhe chup rahne ki salah di jati hai.pray yah dekha gaya hai ki aise mamlo me agal bagal ke log kuch nahi bolte hai wah aise mamle ko pati patni ke bich ka mamla jankar chhod dete hai.Yadi stri police ke paas bhi jati hai to purus pradhan samaj hone ke kara pahle to police wale stri ka majak udate hai phir unki report likhne me ana kani karte hai.Stri ko marna pitna Aadmi apna adhikar samajhta hai . Aisa nahi hai ki aisi ghatnaye keval gaown aur middle class familiy me hi dekhne ko milti hai.Durbhagya ki baat to yah hai upar se sant dikhne wale log jaha pati patni dono apne pairo par khade rahte hai wah par bhi mar pit aur gharelu hinsa jaisi ghatnaye dekhi jati hai.Is prakar ham dekh sakte hai ki ek stri chahe jahan bhi jaye uski sunne wala koi nahi hota hai ek stri chahe jaha bhi jati hai to apna aap ki wah asahay hi pati hai.Sabhi sage ,sambandhi,Dost ,ristedar striyo ko samjhauta karne ki hi salah dete hai.isliye mera aap sabhi logo se savinay nivedan hai ki striyo par aap kisi bhi prakar ka sharirik aur manshik utpidan mat kijiye.is samaj me unka bhi utna hi ashikar hai jitana ki purusho ka hai.is samaj me unko bhi chain ki saas lene de unhe bhi chain aur shukun ki jindagi jine de Dhanyabad Published byAshwani chaudhary
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Write comments