Translate

Wednesday, 7 September 2016

Swakchata saaf-safai hamare jivan ke iiye acchi cheej

 

Swakchata saaf- safai:-Aaj swakchata hamre jivan ka ek mahtvapoorn hissa ban sakta hai yadi ham Pradhanmantri ji ke swakchata abhiyan jisko ki pradhanmantri ji ne 2octobar 2014 ko lancha kiya tha us par ham amal kare aaj swakchata karna hamara kartavya hai hai jaise ham roj apne sharir ko swacha karte hai ghar ki saaf safai karte hai ghar ko swakch bante hai thik usi prakar yah shahar ye des hamara ghar hai isko swach rakhna hamari jimmedari hai.swachta karne se ham log ko hi fayda hoga jaise ki ham kam bimaar honge acche se aur khus rahenge.Apne des shahar ko swakch rakhne se hamare des shahar me adhik se adhik paryataka aayenge hamare des me adhik se adhik nivesh karne wale log ayenge jiska fayda yah hoga ki hamare des ki arthvayastha sudhregi hamare des me naukriyo ki tadad badegi logo ko paisa rupaye chodkar anya des me nahi jana padega.Swakchata hamare mahtvapoorn kamo me se ek kam hi hai jisse hamara sharirik aur manshik tarike se ham dandroost aur hast-prist rahenge.Pradhanmantri ji dwara chalaye gaye swakchata abhiyan ke tahat aaj kai aise shahar aa gaye hai jahan par gandgi ka namo nisan nahi hai.Aaj sabse jyada gandagi hamre railway stationo par dekhno ko milta hai lekin swakchata pradhanmatri ji ke swakchata abhiyan ke tahat aaj har railway station par saaf safai ki ja rahi hai.Yah des yah sahar hamara ghar hai isko ham jitna saaf suthra swakch rakhenge  utna hi accha hamara des dikhega. Jaisa ki aap jaante hai duniya ki sabse badi abadi chin me payi jati hai Jabki dusre numbar par hamara des bharat ki abadi hai lekin chin hamse har chij me aage dikhai padta hai swakchata hua infratecture me ecnomic growth me har chij me aisa kyon hai aisa kyon hai chin se kam abadi hone par bhi hamara des age nahi hai Mujhe lagta hai aisa isliye hai kyonki waha par apne des ko swakch rakhne me use age badane me waha ke har nagriko ka sahyog dekhne ko milta hai yahi karan hai ki chin vikas karne me teji se raftaar pakad raha hai.Aisa nahi hai ki hamare des me swakchata rakhne wale log nahi hai lekin un logo ke aas pass ka mahaul itna gandagi rahti hai jisse unhe bhi gandgi ke mahaul me rahne ki adat pad jati hai.Aise vyakti jo saaf safai karne me viswas rakhte hai kintu aas paas ke mahul ganda hone ke karan wah saaf safai nahi kar pate hai aise log please apne aas paas jakar logo ko saaf safai ka mahatva samjhaye  jisse gandagi failane wale log gandagi na faiakar swakcata kare tatha apne des aur shahar ko swakch aur sundar banaye.Aap hi log sochiye jab hamara ghar ganda rahta hai har jagah kachra gandagi faili ho ti kya koi hamare ghar me aana pasand karega nahi karega naa thik usi prakar jab hamara des ganda dikhega kahi saaf safai nahi hogi ti kaise hamare des me bahar se log aayenge aisi sthiti me majboori bas sarkar ko kucch aise kadam uthane padte hai jiska dusprabhav ham par hi padta hai kyonki jab hamre des me bahar selog nahi aayenge adhik se adhik paryatak nahi aayenge to hamare arthvyaastha kamjor padti chali jayegi to aise me aap hi failsla le ki aapko gandagi failana hai ye safai karna hai.

     Published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments