Translate

Friday, 9 September 2016

Bandhuagiri samajic burai

 

Bandhuagiri:-Aaj hamare des ko Azad huye 69 saal ho chuke hai lekin aaj bhi hamare des ke kai sahro ke gaon me bandugiri dekne ko milta hai.Aise gaon me Bandhuagiri ko samarthan mila hua hai. Akhir kya karan hai ki vyakti hi dusre vyakti ko bandhua bana leta hai.                                    Bandhuagiri ka arth:-Bandhuagiri ek aisi dasa hai jab ek vyakti apni kuch jarorto ko pura karne ke liye apne malik ya jamindar se jab kuch paise ya rupaye udhar ke taur par leta hai aur use nirdhatit samay me byaj sahit chukane me asamarth rahta hai  tab wah apne malik aur jamindar ka bandhua aur naukar ban kar rah jata hai. Bandhuo do prakar se logo banaya jata hai kuch logo jabarjasti to kuch logo ko paise ke karan banaya jata hai.                                          Aise keso  me pray ya dekha gaya hai ki ek vyakti ajivan bhar apne malik bandhua unka gulam bankar rah jata hai aur to aur unki aane wali pidi bhi bandhua bana li jati hai kyonki ubki picchli pidi byaj ke sath nirdharit samay me paise dene me asamarth rahti hai.Aaj jabki hamara des itna tarkki kar raha hai modern ho raha hai to aise bandhugiri hamare samaj ke liye abhisap ban raha hai.Aaj bandhuao par anek prakar ke atyachar  julm kiye jate haiunhe roti roti ko tarsaya jata hai unhe apne man marji se jine nahi diya jata hai.aisa nahi ki isme keval bade aur vyask vyakti ko hi bandhua banaya jata hai balki isme baccho Aur buzurgo ko bhi shamil kiya jata hai yadi kisi ne in jamindaro aur maliko ke khilaf awaj uhane ki kosis karta hai to use maut ke ghat utar diya jata hai.Bandhua vyakti ko kabhi bhi accha bhojan accha kapda nasib nahi hota hai kyonki wah apne malik aur jamindar ke adhin rahte hai.Bandhuao ko hamesha apne malik aur jamidaro ke dwara diye gaye adesho aur nirdesho ka palan karna padta hai unhe apne malik ka naukar bana rahna padta hai. Bandhua vyakti bhi to hamare tarah ek sadharan insaan hai to kyon un par atyachar kiye jate hai kya unhe khul ke jine ka adhikar nahi hai akhir kyon nahi bandhuao ko bacahne ke liye unhe azad karane ke liye koi awaj uthati hai akhir kyon nahi bandhuao ko bacahane ke liye koi aage aata hai kya unka is samaj par koi adhikar nahi hai jaisa ki ham logo ka hai akhir ek insaan ko bandhua banne par kyon majboor kiya jata hai.Iska mulhya karan mujhe ashiksha dikhayi padti hai kyonki ek ashikshit vyakti sahi galat me fark nahi kar pata hai aur thode se paise ke chalte wah apna pura jivan darindo ke hath me de deta hai.Isliye hamesha ame shiksha ko adhik se adhik protsahan dena chahiye ki adhik se adhik log shikshita ho acche bure me fark samjhe jisse ki wah bandhua banme ke daldal me na fasna pade.                                                                          Published by Ashwani chaudhary.

No comments:
Write comments