Dosto aaj mai apne is artical ke madhyam se baat karoonga ki modi ji ne jo note band karne ka faisla liya hai wah kaha tak aur kitne had tak sahi hai aur kitne had tak galat hai.Aaj mai apko apne post ke jariye ye bataoonga ki modi ji ka faisla kis prakar hamare yani ki aam janta ke liye faydemand hai aur kis prakar hanikarak hai to chaliye aaj ham jante hai ki kaise modi ji ka note band karne ka faisla hamare liye faydemand hai aur kaise faydemand nahi hai.
Modi ji ke faisle par logo ki pratikriya:-
Dosto modi ji ne jo note band karne ka faisla liya hai wah bahut had tak hamare aane wale samay ke liye kafi achcha hai,yadapi kuch jagaho par modi ji ke note band karne ke faisle se dikkate aa rahi hai lekin ye jyada din ki dikkat nahi hai har maino me modi ji ka note band karne ka faisla achcha hai modi ji ka yah faisla age chalkar hamare bhavisya me hame kafi fayada pahuchayega.Modi ji ka 500-1000ka note band karne ka faisala aane wale kal me achcha faisla sabit hoga,aisa nahi hai ki mai modi ji ke kisi party ka banda hoon jo is post ko likh raha hoon aur modi ji ki prasansa kar raha hoon mai ek student hoon aur ek aam janta hoon mujhe modi ji ke note band karne ka faisla kuch had tak samajh me aa raha jiske karan mai modi ji ke 500-1000hajar ke note band karne ka faisle ka samarthan kar raha hoon aur is post ke madhyam se aapko bhi modi ji ke faisle ki ahmiyat samjhane ki kosis kar kar raha hoon jiske karan mai ye post likh raha hoon.
Dosto mera naam ashwani hai aur mai 2-3 din se yani ki jab se modi ji ne note band karne ka elan kiya hai uske baad se hi mai logo ki pratikriya janne ke aur unke vichar-bhawana ko samjhane ke liye kai banko evom post office me gaya to mujhe har bank aur post -offico me logo ki mili juli pratikriya mili kuch log modi ji ke is faisle ko galat bata rahe hai to kuch log sahi bata rahe hai.Mai to yah dekh ke chauk gaya ki jo log modi ji ke faisle ko galat bata rahe hai unme sabse jyada sankhya un logo ki bai jo uche tapke hai aur dhani hai tatha jo log modi ji ke nirnay ko sahi bata rahe hai unme middle class,aur niche tapke ke log hai,isse mujhe ye to samajh me aa gaya ki ek or jaha mehnat,majdoori kar ke kamane wale logo me khusi ki lahar hai to wahi dusri or bharst,beiman,ghuskhor,blackmaoney wale log apna sir patak patak kar ro rahe hai aur ye soch rahe unka itna paisa ka kya hoga.Maine bank me kuch logo se ye puchha ki aap log ko jo dikkat ka samna karna pad raha hai usse aap ko pareshani nahi ho rahi hai to kai logo ne mujhe kaha ki abhi to ham kisi bhi tarike se is pareshani ko jhel le rahe lekin age chalkar jo dikkate ane wali thi usko ham nahi jhel pate thatha kuch logo ne mujhe ye uttar diya ki ye dikkat to kuch bhi nahi hai ham aane wale dikkat se bach jayenge is faisle se.kuch logo ne is faisle ko bakwaas aur logo ko pareshan karne wale faisla bataya is prakR mujhe logo mili juli pratikriya dekhne ko mili.
Modi ji ke dwara 500-1000 note band karne ke vishay me diye gaye nirdesh ya guidline ko jante hai old guidline
Modi ji ne 8 novembar 2016 ke raat barah baje ke baad 500-1000ke note band karne ka elan kiya.
Modi ji ne railway,hospital,medical,dairy,petrol pump aadi jagho par purane note accept karne ka nirdesh diya hai 14 novambar tak
9 novembar ko desh ke sabhi bank band rahenge.
9-10 novembar ko desh ke sabhi atm band rahenge.
11 novembar ko desh ke sabhi banko me naye note uplabdh ho jayenge.
Ek din me aap keval 4000 rupye tak ke note badal sakte hai.
Aap apne najdiki post-offico aur bank me jaa kar ke apne purane 500-1000 ke note ko badal sakte hai note badalne ke liye ghar Se nikalate samay aap apna adhar card,voter id, pan card,rastion card yani ki koi bhi ek proof apko le jana anivarya hai warna aapk note nahi badal payenge.
pratisaptah aap 20000rupaye matra nikala sakte hai ek baar me sirf.
Bank me aap 2.5 lakh rupaye tak jama kara sakte hai isse adhik rupaye jama karne ke condition me aapko pura byora dena hoga sarkar ko.
Aap suruat ke din aap Atm se 2000 rupaye tak nikal sakte hai.
10 novembar 2016 se lekar 31 decambar 2016 tak aapne purane note ko badal sakte hai.
Yadi kisi karanwas aap apne purane note nahi badal pate hai 31 decambar 2016 ke andar to ghbarrane ki koi baat nahi hai iske liye sarkar ne ek aur mauka diya hai aise log 31 march 2017 tak apne purane note pure byora dekar badal sakte hai.
NEW Guidline 13novambar 2016 ko jari kiya gaya.
Ab aap bank ya post office se 4500 Rupaye tak exchange kar sakte hai
Ab aap Ek saptah me 24000 rupaye tak nikal sakte bank se .
Ab aap ATM se par day 2400 rupaye ki Dhanrashi nikal sakte hai.
Ap ab 2000 tak hi exchange kar sakte hai bank ya post office.
Modi ji ke is faisle ki kuch kami.
Modi ji ne is faisle ko jaldbazi me leliya.
Is faisle ko modi ji ko 2-3mahine baad me lena chahiye tha jab shadi vivah ka jhamela naa hota.
Banko me staffo ko aur jyada badana chahiye tha.
Modi ji ko is faisle ko lene se pahle chote note jaise 100,50,10,20, ke note ki vyavasta kar deni chahiye tha jisse ki age chalkar logo chutte ki problem na ho.
Modi ji ko jagah-jagah par camp agwa ke note badalne ki vyavastha karni chahiye thi isse banko aur post offico me jyada lambi-lambi line nahi lagane padti.
Modi ji ke is faisla ka kya fayda hoga aaiye jante hai:-
Modi ji ke is faisle se hamare desh me blackmoney,bhrastachaar,beimani,ghuskhori jaisi samasya kam hogi.
Jab black money aane lagegi haamre desh me to bahut had mehangai kam ho jayegi.
Is faisle se banking ke chetra me sudhar hoga tatha logo kam byaj daro par education,home tatha anya Loan milne ki suvidha ho jayegi.
Hamare desh me 500ke note ko vane 29sal ho chuke hai aur 1000ke note bane 16 saal ho chuke ab ye note purane ho gaye hai jisse ki hamare desh ke rupaye ka value ghat gayi hai.Naye note aane se phir se rupya ki value badegi jo hamare desh ki arthik arthvyavastha ko thik karegi.
Yadi kabhi bhi kisi bhi desh se yudh hua to hamara sena 10 saal piche ho jayegi aisa karke modi ji paise ko ikatha kar rahe hai jisse kabhi yudho ho to ham uski bharpai karnee saksham ho jaye tatha hamari army ko isse majbooti pradan kiya jayega.
Is faisle se jali note ke karobariyo ka dhandha chaupat ho gaya hai.
Terrist funding par rok lagegei.
Is faisle se atanwadi gatividhiyo par bhi bahut rok lag jayegi.
Chori,dacaitee apharan jaise vardate kam ho jayegi.
Modi ji ke ek faisle se jaha hame itne fayde honge waha hame thodi taklif to jhelna hi padega.
kale dhanwalo ke liye ek sujhav sahi lage to amal karna:-
kaladhan rakhne wale log jinko ye samajh me nahi aa raha hai ki wah apne blackmoney ka kya kare to aise log apne noto ko jalane,nadi me bahane,fadne se badiya hai ki aap apni gopniyta bante huye in noto ko un garib basti me rakh dijiye jahan par log bhukho mar rahe jaha log khane bina pareshan hai apke aisa karne se garibo ka bhi kuch bhala ho jayega aur hamare desh me garibi aur amiri ka bhed bhav samapt ho jayega tatha hamar desh se bahut had tak garibi samapt ho jayegi.
PUBLISHED BY ASHWANI CHAUDHARy
No comments:
Write comments