Aaj ham apne is artical me baat karenge rastriye ekta ki ki rastriye ekta kya hai aur kaise yeh hamare jivan ke liye ek mahtvapoorn bhoomika nibhati hai to chaliye jante hai rashtra ekta kya hoti hai. Rashtriye ekta:-Bharat hamara des anek Dharmo,Jatio, sanskriti aur bhasayo ka des hai yahi bharat des ki sabse badi vishesta hai ki yaha par anekta me ekta ki bhavna dekhne ko milti hai.Jab koi bhi hamare des ki rashtra ki ekta ko khandit karne ka prayas karta hai to hamare des ka har ek nagrik sajag ho uthta hai tatha hamare des rastriye ekta ko khandit karne vali shaktiyo ke viruddh andolan prarambh kar deta hai. Vastuta rashtriye ekta hamare des ke gauav ka pratik hai aur jis vyakti ko apne rashtriye gaurav par abhiman nahi hai wah insaan,insaan nahi waran ek janwar ke saman hai.Hamara des hamara rashtra hamari shaan hai yah hamari jaan hai yahi karan hai ki jab koi hamre des par koi par ungli uthata hai ya phir kisi prakar galat arop lagata hai to ham ek hokar uska samna karte hai.Apne des par ungli uthane wale tatha jhuta arop lagane walelogo ko sabak shikhate hai yah sab rashtriye ekta ke karan hi ham karte hai kyonki ham apne des atyadhik prem karte hai jaise ham apne maami papa se karte hai. Rashtriye ekta ka abhipray:-Rashtriye ekta ka abhipray hai sampoorn bharat ki arthik,samajic,rajnaitik aur vaicharik ekta hai.Hamare karmjand,puja-path,khan pan,rahan sahan,sanskriti, me bhale hi antar dekhne ko milta hai kintu hamare rajnaitik aur vaicharik dristikod me pratek drishti se ekta ki bhavna drisrtigochar hai is prakar ham dekh sakte hai ki anekta me ekta hi bharat ki pramookh visheshta hai. Rashtriye ekta ki awasyakta hai:-Rashtra ki antrik shanti,shuvyavastha,aur bahri satruo se raksha ke liye rashtriye ekta param awasyak hai. Yadi ham bharatvashi kisi karan vash chhinn bhinn ho gaye to hamare aapsi foot ka labh uthakar anya des hamare swatantrata ko hadapne ka prayas kar ne lagenge.Akhil bhartiye rashtriye Ekta sammelan me bolte huye srimati indira gandhi ji ne kaha tha-"Jab jab bhi ham asangathit huye hame arthik aur rajnitik taur par iski keemat chukani padi.Jab jab hamare vicharo me sankirta aai ham apas me lade aue jhagde jab kabhi bhi hamne naye vicharo se apna mukh moda hani hi hui aur ham videshi shashko ke adhin ho gaye" y
Rashtriye ekta ki disha me hamare dwara kiye gaye prayas:-Hamare des ke vicharko,sahityakar,darshanik,avaom samaj sudhakar apni apni seemayo me nirantar is baat ke liye praytnshil hai ki des me bhaicharo aur sadhbhavna ka vatavaran bana rahe algav ki bhavna parasparik tanav aur vidvesh ki deewaro ko samapt kiya jaye phir bhi is aag me kabhi panjab,kabhi maharasta,kabhi bihar, kabhi gujrat to kabhi uttar pradesh.is prakar ke anchahe ghatnaye ki puravritti hame is baat ka sanket deti hai ki ham tanav aur bikhrao paida karne wale tatvo ko rokne me asamarth hai.in samasyo ka samadan keval rashtra netao aur prasasnik star par nahi ho sakta hai varan iske liye hame miljulkar prayas karna chahiye.
Vistar me yah kaha ja sakta hai rashtriye ekta ki bhavna ek shresta bhavna hai aur is bhavna ko utpann karne ke liye swayam ko sabse pahle manusya samajhna hoga manusya awam manusya me asamanta ki bhavna ko hi sansar me me samast ladai jhagde aur anek prakar ke vidwesho ka karan hai.isliye jab tak hamare andar manviyata aur sadbhavna ke gudo ka vikas nahi hoga tab tak khali updesh,bhasad,aur rashtriye geet ke madhyam se hamre andar rashtriye ekta ki bhavna utpann nahi ho sakta hai.To aaiye aaj se ham ye sankalp lete hai ki ham apne andar manavta ke gudo ka vikas karke apne des aur rashtra me ekta banaye rakhne me ham apna pura sahyog denge.
Published by Ashwani chaudhary

No comments:
Write comments